kahta hai koi sun ke meri aah-e-rasa ko
kahtā hai koī sun ke mirī āh-e-rasā ko
pahchānte haiñ ham bhī zamāne kī havā ko
tāsīr ke do hisse agar hoñ to mazā hai
ik merī fuġhāñ ko mile ik terī adā ko
ham sā koī banda bhī zamāne meñ na hogā
gar us ne bhulāyā to kiyā yaad ḳhudā ko
santā huuñ ki hai ḳhvāhish-e-pā-bos use abhī
vo piis ke rakh deñ na kahīñ barg-e-hinā ko
ai 'nūh' abhī hai mirī fariyād unhīñ se
jab vo na suneñge to pukārūñgā ḳhudā ko
kahta hai koi sun ke meri aah-e-rasa ko
pahchante hain hum bhi zamane ki hawa ko
tasir ke do hisse agar hon to maza hai
ek meri fughan ko mile ek teri ada ko
hum sa koi banda bhi zamane mein na hoga
gar us ne bhulaya to kiya yaad KHuda ko
santa hun ki hai KHwahish-e-pa-bos use abhi
wo pis ke rakh den na kahin barg-e-hina ko
ai 'nuh' abhi hai meri fariyaad unhin se
jab wo na sunenge to pukarunga KHuda ko
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 145)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.