jab wo aali-dimagh hansta hai
jab vo ālī-dimāġh hañstā hai
ġhuncha khiltā hai baaġh hañstā hai
haath meñ dekh kar tire marham
mere siine kā daaġh hañstā hai
kyā havā phir ga.ī hai gulshan kī
saut-e-bulbul ko zaaġh hañstā hai
sham.a har shaam tere rone par
sub.h-dam tak charāġh hañstā hai
shaiḳh kī dekh sūrat-e-taqvā
aaj 'hātim' ayāġh hañstā hai
jab wo aali-dimagh hansta hai
ghuncha khilta hai bagh hansta hai
hath mein dekh kar tere marham
mere sine ka dagh hansta hai
kya hawa phir gai hai gulshan ki
saut-e-bulbul ko zagh hansta hai
shama har sham tere rone par
subh-dam tak charagh hansta hai
shaiKH ki dekh surat-e-taqwa
aaj 'hatim' ayagh hansta hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 301)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.