Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab main suna ki yar ka dil mujhse haT gaya

Nazeer Akbarabadi

jab main suna ki yar ka dil mujhse haT gaya

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    jab maiñ sunā ki yaar dil mujh se haT gayā

    sunte is ke merā kaleja ulaT gayā

    farhād thā to shīrīñ ke ġham meñ muā ġharīb

    lailā ke ġham meñ aan ke majnūñ bhī laT gayā

    maiñ ishq jalā huuñ mirā kuchh nahīñ ilaaj

    vo peḌ kyā harā ho jo jaḌ se ukhaT gayā

    itnā koī kahe ki divāne paḌā hai kyā

    dekh abhī udhar koī pariyoñ ġhaT gayā

    chhīnā thā dil ko chashm ne lekin maiñ kyā karūñ

    uupar uupar us saf-e-mizhgāñ meñ paT gayā

    kyā kheltā hai naT kalā āñkhoñ āñkhoñ meñ

    dil saaf le liyā hai jo pūchhā to naT gayā

    āñkhoñ meñ merī sub.h-e-qayāmat ga.ī jhamak

    siine se us parī ke jo parda ulaT gayā

    sun kar lagī ye kahne vo ayyār-e-nāznīñ

    ''kyā boleñ chal hamārā to dil tujh se phaT gayā''

    jab maiñ ne us sanam se kahā kyā sabab hai jaan

    iḳhlās ham se kam huā aur pyaar ghaT gayā

    aisī vo bhārī mujh se huī kaun ḳhatā

    jis se ye dil udaas huā uchaT gayā

    āñkheñ tumhārī kyā phirīñ us vaqt merī jaan

    sach pūchhiye to mujh se zamāna ulaT gayā

    ushshāq jāñ-nisāroñ meñ maiñ to imaam huuñ

    ye kah ke maiñ jo us ke gale se lipaT gayā

    kitnā us ne tan ko chhuḌāyā jhiḌak jhiḌak

    par maiñ bhī qaiñchī bāñdh ke aisā chimaT gayā

    ye kashmakash huī ki garebāñ mirā udhar

    TukḌe huā aur us dupaTTa bhī phaT gayā

    āḳhir isī bahāne milā yaar se 'nazīr'

    kapḌe balā se phaT ga.e saudā to paT gayā

    jab main suna ki yar ka dil mujh se haT gaya

    sunte hi is ke mera kaleja ulaT gaya

    farhad tha to shirin ke gham mein mua gharib

    laila ke gham mein aan ke majnun bhi laT gaya

    main ishq ka jala hun mera kuchh nahin ilaj

    wo peD kya hara ho jo jaD se ukhaT gaya

    itna koi kahe ki diwane paDa hai kya

    ja dekh abhi udhar koi pariyon ka ghaT gaya

    chhina tha dil ko chashm ne lekin main kya karun

    upar hi upar us saf-e-mizhgan mein paT gaya

    kya khelta hai naT ki kala aankhon aankhon mein

    dil saf le liya hai jo puchha to naT gaya

    aankhon mein meri subh-e-qayamat gai jhamak

    sine se us pari ke jo parda ulaT gaya

    sun kar lagi ye kahne wo ayyar-e-naznin

    kya bolen chal hamara to dil tujh se phaT gaya

    jab main ne us sanam se kaha kya sabab hai jaan

    iKHlas hum se kam hua aur pyar ghaT gaya

    aisi wo bhaari mujh se hui kaun si KHata

    jis se ye dil udas hua ji uchaT gaya

    aankhen tumhaari kya phirin us waqt meri jaan

    sach puchhiye to mujh se zamana ulaT gaya

    ushshaq jaan-nisaron mein main to imam hun

    ye kah ke main jo us ke gale se lipaT gaya

    kitna hi us ne tan ko chhuDaya jhiDak jhiDak

    par main bhi qainchi bandh ke aisa chimaT gaya

    ye kashmakash hui ki gareban mera udhar

    TukDe hua aur us ka dupaTTa bhi phaT gaya

    aaKHir isi bahane mila yar se 'nazir'

    kapDe bala se phaT gae sauda to paT gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now