ishq tasir se naumed nahin
ishq tāsīr se naumed nahīñ
jāñ-sapārī shajar-e-bed nahīñ
saltanat dast-ba-dast aa.ī hai
jām-e-mai ḳhātam-e-jamshed nahīñ
hai tajallī tirī sāmān-e-vajūd
zarra be-partav-e-ḳhurshed nahīñ
rāz-e-māshūq na rusvā ho jaa.e
varna mar jaane meñ kuchh bhed nahīñ
gardish-e-rañg-e-tarab se Dar hai
ġham-e-mahrūmi-e-jāved nahīñ
kahte haiñ jiite haiñ ummed pe log
ham ko jiine kī bhī ummed nahīñ
ishq tasir se naumed nahin
jaan-sapari shajar-e-bed nahin
saltanat dast-ba-dast aai hai
jam-e-mai KHatam-e-jamshed nahin
hai tajalli teri saman-e-wajud
zarra be-partaw-e-KHurshed nahin
raaz-e-mashuq na ruswa ho jae
warna mar jaane mein kuchh bhed nahin
gardish-e-rang-e-tarab se Dar hai
gham-e-mahrumi-e-jawed nahin
kahte hain jite hain ummed pe log
hum ko jine ki bhi ummed nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.