Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is arsa-e-mahshar se guzar kyun nahin jate

Shahid Kamal

is arsa-e-mahshar se guzar kyun nahin jate

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    is arsa-e-mahshar se guzar kyuuñ nahīñ jaate

    jiine tamannā hai to mar kyuuñ nahīñ jaate

    ai shahr-e-ḳharābāt ke āshufta-mizājoñ

    jab TuuT chuke ho to bikhar kyuuñ nahīñ jaate

    is dard shiddat bhī numū-ḳhez bahut hai

    jo zaḳhm haiñ siine meñ vo bhar kyuuñ nahīñ jaate

    ham mo.atakif-e-dasht-e-aziyyat to nahīñ haiñ

    pairoñ se masāfat ke bhañvar kyuuñ nahīñ jaate

    jab aa.e haiñ maqtal meñ to kyā lauT ke jaanā

    ab apne lahū meñ nikhar kyuuñ nahīñ jaate

    jab Duub ke marnā hai to kyā soch rahe ho

    in jhiil āñkhoñ meñ utar kyuuñ nahīñ jaate

    ye bhī koī zid hai ki ye 'shāhid' anā hai

    jaate haiñ jidhar log udhar kyuuñ nahīñ jaate

    is arsa-e-mahshar se guzar kyun nahin jate

    jine ki tamanna hai to mar kyun nahin jate

    ai shahr-e-KHarabaat ke aashufta-mizajon

    jab TuT chuke ho to bikhar kyun nahin jate

    is dard ki shiddat bhi numu-KHez bahut hai

    jo zaKHm hain sine mein wo bhar kyun nahin jate

    hum moatakif-e-dasht-e-aziyyat to nahin hain

    pairon se masafat ke bhanwar kyun nahin jate

    jab aae hain maqtal mein to kya lauT ke jaana

    ab apne lahu mein hi nikhar kyun nahin jate

    jab Dub ke marna hai to kya soch rahe ho

    in jhil si aankhon mein utar kyun nahin jate

    ye bhi koi zid hai ki ye 'shahid' ki ana hai

    jate hain jidhar log udhar kyun nahin jate

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now