Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si

Zeb Ghauri

ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    ik piilī chamkīlī chiḌiyā kaalī aañkh nashīlī

    baiThī hai dariyā ke kināre merī tarah akelī

    jab maiñ nasheb-o-rañg-o-bū meñ utrā us yaad ke saath

    os meñ bhīgī dhuup lagī hai narm harī lachkīlī

    kis ko ḳhabar maiñ kis raste dhuul banūñ phuul banūñ

    kyā jaane kyā rañg dikhā.e us aañkh pahelī

    tez havā dhaar se kaT kar kyā jaane kab gir jaa.e

    lahrātī hai shāḳh-e-tamannā kachchī bel chamelī

    kam raushan ik ḳhvāb ā.īna ik piilā murjhāyā phuul

    pas-manzar ke sannāTe meñ ek nadī pathrīlī

    ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si

    baiThi hai dariya ke kinare meri tarah akeli si

    jab main nasheb-o-rang-o-bu mein utra us ki yaad ke sath

    os mein bhigi dhup lagi hai narm hari lachkili si

    kis ko KHabar main kis raste ki dhul banun ya phul banun

    kya jaane kya rang dikhae us ki aankh paheli si

    tez hawa ki dhaar se kaT kar kya jaane kab gir jae

    lahraati hai shaKH-e-tamanna kachchi bel chameli si

    kam raushan ek KHwab aaina ek pila murjhaya phul

    pas-manzar ke sannaTe mein ek nadi pathrili si

    Source :
    • Book : zartaab (Pg. 75)
    • Publication : naamii press lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now