Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne aawaz na di barg o nawa hote hue

Zafar Iqbal

humne aawaz na di barg o nawa hote hue

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    ham ne āvāz na barg o navā hote hue

    aur milne na ga.e us patā hote hue

    aañkh ke ek ishāre se kiyā gul us ne

    jal rahā thā jo diyā itnī havā hote hue

    ek pattā laraztā huuñ sar-e-shāḳh-e-gumāñ

    apne har-sū koī tūfān-e-balā hote hue

    chal rahe hote haiñ dhāre ka.ī dariyā meñ so ham

    sab meñ shāmil bhī rahe sab se judā hote hue

    vaqt par aa ke baras to ga.e bādal lekin

    der lag ga.ī jañgal ko harā hote hue

    ham bhalā dād-e-suḳhan kyuuñ nahīñ chāheñge ki vo

    aap tārīf tālib hai ḳhudā hote hue

    kuchh hameñ bhī ḳhabar is na huī ḳhaas ki ham

    kyā se kyā hote ga.e asl meñ kyā hote hue

    baat aur bhī ho saktā hai matlab aur phir

    lafz tabdīl bhī hotā hai adā hote hue

    kyā zamāna hai ki is gumbad-e-be-dar meñ 'zafar'

    apnī āvāz ko dekhā hai fanā hote hue

    hum ne aawaz na di barg o nawa hote hue

    aur milne na gae us ka pata hote hue

    aankh ke ek ishaare se kiya gul us ne

    jal raha tha jo diya itni hawa hote hue

    ek patta sa larazta hun sar-e-shaKH-e-guman

    apne har-su koi tufan-e-bala hote hue

    chal rahe hote hain dhaare kai dariya mein so hum

    sab mein shamil bhi rahe sab se juda hote hue

    waqt par aa ke baras to gae baadal lekin

    der hi lag gai jangal ko hara hote hue

    hum bhala dad-e-suKHan kyun nahin chahenge ki wo

    aap tarif ka talib hai KHuda hote hue

    kuchh hamein bhi KHabar is ki na hui KHas ki hum

    kya se kya hote gae asl mein kya hote hue

    baat ka aur bhi ho sakta hai matlab aur phir

    lafz tabdil bhi hota hai ada hote hue

    kya zamana hai ki is gumbad-e-be-dar mein 'zafar'

    apni aawaz ko dekha hai fana hote hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now