Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-dadgan-e-husn se parda na chahiye

Muztar Khairabadi

dil-dadgan-e-husn se parda na chahiye

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    dil-dādgān-e-husn se pardā na chāhiye

    dil le ke chhup ga.e tumheñ aisā na chāhiye

    dil kaam nahīñ to na lo jaan nazr hai

    itnī zarā baat pe jhagḌā na chāhiye

    zāhid to baḳhshe jaa.eñ gunahgār muñh takeñ

    ai rahmat-e-ḳhudā tujhe aisā na chāhiye

    ai dil sadā usī taraf sar jhukā rahe

    ka.aba vahī hai ġhair sajda na chāhiye

    ka.aba samajh ke dair meñ 'muztar' basar karo

    vo har jagah hai ab kahīñ jaanā na chāhiye

    dil-dadgan-e-husn se parda na chahiye

    dil le ke chhup gae tumhein aisa na chahiye

    dil kaam ka nahin to na lo jaan nazr hai

    itni zara si baat pe jhagDa na chahiye

    zahid to baKHshe jaen gunahgar munh taken

    ai rahmat-e-KHuda tujhe aisa na chahiye

    ai dil sada usi ki taraf sar jhuka rahe

    kaba wahi hai ghair ka sajda na chahiye

    kaba samajh ke dair mein 'muztar' basar karo

    wo har jagah hai ab kahin jaana na chahiye

    Source :
    • Book : Khirman (Part-1) (Pg. 251)
    • Author : Muztar Khairabadi
    • Publication : Javed Akhtar (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now