Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daman saba na chhu sake jis shah-sawar ka

Mohammad Rafi Sauda

daman saba na chhu sake jis shah-sawar ka

Mohammad Rafi Sauda

MORE BYMohammad Rafi Sauda

    dāman sabā na chhū sake jis shah-savār

    pahuñche kab us ko haath hamāre ġhubār

    mauj-e-nasīm aaj hai ālūda gard se

    dil ḳhaak ho gayā hai kisī be-qarār

    ḳhūn-e-jigar sharāb o tarashshah hai chashm-e-tar

    sāġhar mirā giro nahīñ abr-e-bahār

    chashm-e-karam se āshiq-e-vahshī asiir ho

    ulfat hai dām-e-āhū-e-dil ke shikār

    sauñpā thā kyā junūñ ne garebān ko mire

    letā hai ab hisāb jo ye taar taar

    'saudā' sharāb-e-ishq na kahte the ham, na

    paayā mazā na ne ab us ke ḳhumār

    daman saba na chhu sake jis shah-sawar ka

    pahunche kab us ko hath hamare ghubar ka

    mauj-e-nasim aaj hai aaluda gard se

    dil KHak ho gaya hai kisi be-qarar ka

    KHun-e-jigar sharab o tarashshah hai chashm-e-tar

    saghar mera giro nahin abr-e-bahaar ka

    chashm-e-karam se aashiq-e-wahshi asir ho

    ulfat hai dam-e-ahu-e-dil ke shikar ka

    saunpa tha kya junun ne gareban ko mere

    leta hai ab hisab jo ye tar tar ka

    'sauda' sharab-e-ishq na kahte the ham, na pi

    paya maza na tu ne ab us ke KHumar ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now