Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chale chalo jahan le jae walwala dil ka

Yagana Changezi

chale chalo jahan le jae walwala dil ka

Yagana Changezi

chale chalo jahāñ le jaa.e valvala dil

dalīl-e-rāh-e-mohabbat hai faisla dil

havā-e-kūcha-e-qātil se bas nahīñ chaltā

kashāñ-kashāñ liye jaatā hai valvala dil

gila kise hai ki qātil ne nīm-jāñ chhoḌā

taḌap taḌap ke nikālūñgā hausla dil

ḳhudā bachā.e ki nāzuk hai un meñ ek se ek

tunak-mizājoñ se Thahrā mo.āmla dil

dikhā rahā hai ye donoñ jahāñ kaifiyat

karegā sāġhar-e-jam kyā muqābla dil

havā se vādi-e-vahshat meñ bāteñ karte ho

bhalā yahāñ koī suntā bhī hai gila dil

qayāmat aa.ī khulā rāz-e-ishq daftar

baḌā ġhazab huā phūTā hai aabla dil

kisī ke ho raho achchhī nahīñ ye āzādī

kisī zulf se lāzim hai silsila dil

pyāla ḳhālī uThā kar lagā liyā muñh se

ki 'yās' kuchh to nikal jaa.e hausla dil

chale chalo jahan le jae walwala dil ka

dalil-e-rah-e-mohabbat hai faisla dil ka

hawa-e-kucha-e-qatil se bas nahin chalta

kashan-kashan liye jata hai walwala dil ka

gila kise hai ki qatil ne nim-jaan chhoDa

taDap taDap ke nikalunga hausla dil ka

KHuda bachae ki nazuk hai un mein ek se ek

tunak-mizajon se Thahra moamla dil ka

dikha raha hai ye donon jahan ki kaifiyat

karega saghar-e-jam kya muqabla dil ka

hawa se wadi-e-wahshat mein baaten karte ho

bhala yahan koi sunta bhi hai gila dil ka

qayamat aai khula raaz-e-ishq ka daftar

baDa ghazab hua phuTa hai aabla dil ka

kisi ke ho raho achchhi nahin ye aazadi

kisi ki zulf se lazim hai silsila dil ka

pyala KHali uTha kar laga liya munh se

ki 'yas' kuchh to nikal jae hausla dil ka

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

Fasih Akmal

chale chalo jahan le jae walwala dil ka Fasih Akmal

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now