chand tanha hai aasman tanha
chāñd tanhā hai āsmāñ tanhā
dil milā hai kahāñ kahāñ tanhā
bujh ga.ī aas chhup gayā taara
thartharātā rahā dhuāñ tanhā
zindagī kyā isī ko kahte haiñ
jism tanhā hai aur jaañ tanhā
ham-safar koī gar mile bhī kahīñ
donoñ chalte rahe yahāñ tanhā
jaltī-bujhtī sī raushnī ke pare
simTā simTā sā ik makāñ tanhā
raah dekhā karegā sadiyoñ tak
chhoḌ jā.eñge ye jahāñ tanhā
chand tanha hai aasman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha
bujh gai aas chhup gaya tara
thartharaata raha dhuan tanha
zindagi kya isi ko kahte hain
jism tanha hai aur jaan tanha
ham-safar koi gar mile bhi kahin
donon chalte rahe yahan tanha
jalti-bujhti si raushni ke pare
simTa simTa sa ek makan tanha
rah dekha karega sadiyon tak
chhoD jaenge ye jahan tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.