Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buto KHuda pe na rakkho moamla dil ka

Imdad Ali Bahr

buto KHuda pe na rakkho moamla dil ka

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    buto ḳhudā pe na rakkho mo.āmla dil

    burā-bhalā yahīñ ho jaa.e faisla dil

    butoñ se hai muta.alliq mo.āmla dil

    ḳhudā hai hashr meñ bhī ho jo faisla dil

    chalo balā se agar hai ye āstīn saañp

    baġhal meñ paal ke maiñ kyā karūñ gila dil

    ḳhayāl-e-zulf meñ siine pe saañp loTte haiñ

    dahān-e-mār chhālā hai aabla dil

    sunūñ tumhārī ki apnī kahūñ haqīqat-e-hāl

    tumheñ hai merī shikāyat mujhe gila dil

    ḳhudā ye nāla-o-fariyād sāz-vār kare

    ki dil-lagī hai hamārī ye mashġhala dil

    bhaTak ke koī gayā dair ko koī ka.abe

    ajiib bhūl-bhulayyāñ hai marhala dil

    maiñ ishq-e-qad meñ alif khīñch kar huā huuñ faqīr

    maiñ zulf-e-yār se rakhtā huuñ silsila dil

    kisī ke zulf ne barham kiye haiñ hosh-o-havās

    luTā hai shaam ke raste meñ qāfila dil

    ḳhizāñ-rasīdoñ ko bāġh-o-bahār se kyā kaam

    na ab vo josh-e-tabī.at na valvala dil

    zamāna aur hai aubāshiyoñ vaqt nahīñ

    na vo mizāj hamārā na hausla dil

    ye kis sanam mohabbat meñ martaba paayā

    huā jo arsh-e-ḳhudā se muqābla dil

    kamāl yaar ke hāthoñ jalā huuñ meñ ai 'bahr'

    hathelī hai phapholā ye aabla dil

    buto KHuda pe na rakkho moamla dil ka

    bura-bhala yahin ho jae faisla dil ka

    buton se hai mutalliq moamla dil ka

    KHuda hai hashr mein bhi ho jo faisla dil ka

    chalo bala se agar hai ye aastin ka sanp

    baghal mein pal ke main kya karun gila dil ka

    KHayal-e-zulf mein sine pe sanp loTte hain

    dahan-e-mar ka chhaala hai aabla dil ka

    sunun tumhaari ki apni kahun haqiqat-e-haal

    tumhein hai meri shikayat mujhe gila dil ka

    KHuda ye nala-o-fariyaad saz-war kare

    ki dil-lagi hai hamari ye mashghala dil ka

    bhaTak ke koi gaya dair ko koi kabe

    ajib bhul-bhulayyan hai marhala dil ka

    main ishq-e-qad mein alif khinch kar hua hun faqir

    main zulf-e-yar se rakhta hun silsila dil ka

    kisi ke zulf ne barham kiye hain hosh-o-hawas

    luTa hai sham ke raste mein qafila dil ka

    KHizan-rasidon ko bagh-o-bahaar se kya kaam

    na ab wo josh-e-tabiat na walwala dil ka

    zamana aur hai aubashiyon ka waqt nahin

    na wo mizaj hamara na hausla dil ka

    ye kis sanam ki mohabbat mein martaba paya

    hua jo arsh-e-KHuda se muqabla dil ka

    kamal yar ke hathon jala hun mein ai 'bahr'

    hatheli ka hai phaphola ye aabla dil ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now