Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai

Bekhud Dehlvi

aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai

Bekhud Dehlvi

aisā banā diyā tujhe qudrat ḳhudā hai

kis husn hai husn adā kis adā hai

chashm-e-siyāh-e-yār se sāzish hayā hai

lailā ke saath meñ ye sahelī balā hai

tasvīr kyuuñ dikhā.eñ tumheñ naam kyuuñ batā.eñ

laa.e haiñ ham kahīñ se kisī bevafā hai

andāz mujh se aur haiñ dushman se aur Dhañg

pahchān mujh ko apnī parā.ī qazā hai

maġhrūr kyuuñ haiñ aap javānī par is qadar

ye mere naam hai ye merī duā hai

dushman ke ghar se chal ke dikhā do judā judā

ye bāñkpan chaal ye nāz-o-adā hai

rah rah ke le rahī hai mire dil meñ chuTkiyāñ

phislī huī girah tire band-e-qabā hai

gardan muḌī nigāh laḌī baat kuchh na

shoḳhī to ḳhair aap tamkīñ balā hai

hotī hai roz bāda-kashoñ duā qubūl

ai mohtasib ye shān-e-karīmī ḳhudā hai

jitne gile the un ke vo sab dil se dhul ga.e

jhepī huī nigāh talāfī jafā hai

chhuptā hai ḳhuun bhī kahīñ muTThī to kholiye

rañgat yahī hinā yahī hinā hai

kah do ki be-vazū na chhue us ko mohtasib

botal meñ band ruuh kisī pārsā hai

maiñ imtihān de ke unheñ kyuuñ na mar gayā

ab ġhair se bhī un ko tamannā vafā hai

dekho to ke hazrat-e-'beḳhud' na huuñ kahīñ

dāvat sharāb-ḳhāne meñ ik pārsā hai

aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai

kis husn ka hai husn ada kis ada ki hai

chashm-e-siyah-e-yar se sazish haya ki hai

laila ke sath mein ye saheli bala ki hai

taswir kyun dikhaen tumhein nam kyun bataen

lae hain hum kahin se kisi bewafa ki hai

andaz mujh se aur hain dushman se aur Dhang

pahchan mujh ko apni parai qaza ki hai

maghrur kyun hain aap jawani par is qadar

ye mere nam ki hai ye meri dua ki hai

dushman ke ghar se chal ke dikha do juda juda

ye bankpan ki chaal ye naz-o-ada ki hai

rah rah ke le rahi hai mere dil mein chuTkiyan

phisli hui girah tere band-e-qaba ki hai

gardan muDi nigah laDi baat kuchh na ki

shoKHi to KHair aap ki tamkin bala ki hai

hoti hai roz baada-kashon ki dua qubul

ai mohtasib ye shan-e-karimi KHuda ki hai

jitne gile the un ke wo sab dil se dhul gae

jhepi hui nigah talafi jafa ki hai

chhupta hai KHun bhi kahin muTThi to kholiye

rangat yahi hina ki yahi bu hina ki hai

kah do ki be-wazu na chhue us ko mohtasib

botal mein band ruh kisi parsa ki hai

main imtihan de ke unhen kyun na mar gaya

ab ghair se bhi un ko tamanna wafa ki hai

dekho to ja ke hazrat-e-'beKHud' na hun kahin

dawat sharab-KHane mein ek parsa ki hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now