aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua
āñdhiyāñ aatī thiiñ lekin kabhī aisā na huā
ḳhauf ke maare judā shāḳh se pattā na huā
ruuh ne pairahan-e-jism badal bhī Daalā
ye alag baat kisī bazm meñ charchā na huā
raat ko din se milāne kī havas thī ham ko
kaam achchhā na thā anjām bhī achchhā na huā
vaqt kī Dor ko thāme rahe mazbūtī se
aur jab chhūTī to afsos bhī is kā na huā
ḳhuub duniyā hai ki sūraj se raqābat thī jinheñ
un ko hāsil kisī dīvār kā saaya na huā
aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua
KHauf ke mare juda shaKH se patta na hua
ruh ne pairahan-e-jism badal bhi Dala
ye alag baat kisi bazm mein charcha na hua
raat ko din se milane ki hawas thi hum ko
kaam achchha na tha anjam bhi achchha na hua
waqt ki Dor ko thame rahe mazbuti se
aur jab chhuTi to afsos bhi is ka na hua
KHub duniya hai ki suraj se raqabat thi jinhen
un ko hasil kisi diwar ka saya na hua
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 262)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.