Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa ka ahd tha dil ko sanbhaalne ke liye

Ehsan Danish

wafa ka ahd tha dil ko sanbhaalne ke liye

Ehsan Danish

vafā 'ahd thā dil ko sañbhālne ke liye

vo hañs paḌe mujhe mushkil meñ Dālne ke liye

bañdhā huā hai bahāroñ ab vahīñ tāñtā

jahāñ rukā thā maiñ kāñTe nikālne ke liye

koī nasīm naġhma koī shamīm raag

fazā ko amn ke qālib meñ Dhālne ke liye

ḳhudā na karda zamīñ paañv se agar khiskī

baḌheñge tund bagūle sañbhālne ke liye

utar paḌe haiñ kidhar se ye āñdhiyoñ ke julūs

samundaroñ se jazīre nikālne ke liye

tire salīqa-e-tartīb-e-nau kyā kahnā

hamīñ the qarya-e-dil se nikālne ke liye

kabhī hamārī zarūrat paḌegī duniyā ko

diloñ barf ko sho'loñ meñ Dhālne ke liye

ye sho'bade sahī kuchh fusūñ-garoñ ko bulāo

na.ī fazā meñ sitāre uchhālne ke liye

hai sirf ham ko tire ḳhāl-o-ḳhad andāza

ye aa.ine haiñ hairat meñ Dālne ke liye

na jaane kitnī masāfat se aa.egā sūraj

nigār-e-shab janāza nikālne ke liye

maiñ pesh-rau huuñ isī ḳhaak se ugeñge charāġh

nigāh-o-dil ke ufuq ko ujālne ke liye

fasīl-e-shab se koī haath baḌhne vaalā hai

fazā jeb se sūraj nikālne ke liye

kuñ.eñ meñ pheñk ke pachhtā rahā huuñ ai 'dānish'

kamand thī jo mināroñ pe Dālne ke liye

wafa ka 'ahd tha dil ko sanbhaalne ke liye

wo hans paDe mujhe mushkil mein Dalne ke liye

bandha hua hai bahaaron ka ab wahin tanta

jahan ruka tha main kanTe nikalne ke liye

koi nasim ka naghma koi shamim ka rag

faza ko amn ke qalib mein Dhaalne ke liye

KHuda na karda zamin panw se agar khiski

baDhenge tund bagule sanbhaalne ke liye

utar paDe hain kidhar se ye aandhiyon ke julus

samundaron se jazire nikalne ke liye

tere saliqa-e-tartib-e-nau ka kya kahna

hamin the qarya-e-dil se nikalne ke liye

kabhi hamari zarurat paDegi duniya ko

dilon ki barf ko sho'lon mein Dhaalne ke liye

ye sho'bade hi sahi kuchh fusun-garon ko bulao

nai faza mein sitare uchhaalne ke liye

hai sirf hum ko tere KHal-o-KHad ka andaza

ye aaine tu hain hairat mein Dalne ke liye

na jaane kitni masafat se aaega suraj

nigar-e-shab ka janaza nikalne ke liye

main pesh-rau hun isi KHak se ugenge charagh

nigah-o-dil ke ufuq ko ujalne ke liye

fasil-e-shab se koi hath baDhne wala hai

faza ki jeb se suraj nikalne ke liye

kunen mein phenk ke pachhta raha hun ai 'danish'

kamand thi jo minaron pe Dalne ke liye

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now