Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ta hashr rahe ye dagh dil ka

Rangin Saadat Yaar Khan

ta hashr rahe ye dagh dil ka

Rangin Saadat Yaar Khan

hashr rahe ye daaġh dil

yā-rab na bujhe charāġh dil

ham se bhī tunak-mizāj hai ye

paate nahīñ dimāġh dil

yaañ ātish-e-ishq se shab o roz

dahke hai paḌā ayāġh dil

us rashk-e-chaman yaad meñ hai

shādāb hamesha baaġh dil

jiine mazā usī ko hai bas

jis shaḳhs ko ho farāġh dil

hai bāda-e-ġham se tere din raat

labrez yahāñ ayāġh dil

ma.alūm nahīñ kisī ko 'rañgīñ'

de kaun hameñ surāġh dil

ta hashr rahe ye dagh dil ka

ya-rab na bujhe charagh dil ka

hum se bhi tunak-mizaj hai ye

pate hi nahin dimagh dil ka

yan aatish-e-ishq se shab o roz

dahke hai paDa ayagh dil ka

us rashk-e-chaman ki yaad mein hai

shadab hamesha bagh dil ka

jine ka maza usi ko hai bas

jis shaKHs ko ho faragh dil ka

hai baada-e-gham se tere din raat

labrez yahan ayagh dil ka

malum nahin kisi ko 'rangin'

de kaun hamein suragh dil ka

Source :
  • Book : Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 95)
  • Author : Khvaja Mohammad Zakriya
  • Publication : Sangat Publishers (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now