Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae zamanon ki chap to sar pe aa khaDi thi

Ahmad Shahryar

nae zamanon ki chap to sar pe aa khaDi thi

Ahmad Shahryar

na.e zamānoñ chaap to sar pe aa khaḌī thī

mirī samā'at guzishta advār meñ paḌī thī

udhar diye badan havā se thā paara paara

idhar añdhere aañkh meñ ik kiran gaḌī thī

falak pe thā ātishīñ daraḳhtoñ ek jañgal

aur un daraḳhtoñ ke biich tārīk jhoñpaḌī thī

samā.ī kis tarah merī āñkhoñ putliyoñ meñ

vo ek hairat jo ā.īne se bahut baḌī thī

jise piroyā thā apne hāthoñ se tere ġham ne

sadā-e-girya meñ hichkiyoñ ajab laḌī thī

hamārī palkoñ pe raqs karte hue sharāre

aur āsmāñ meñ kahīñ sitāroñ phuljaḌī thī

tulūa sub.h-e-hazār ḳhurshīd du'ā par

bujhe charāġhoñ raakh dāman pe aa paḌī thī

sabhī ġhamīñ the mire piyāle meñ zahr kar

maiñ mutma.in thā ki merī takmīl ghaḌī thī

savāl-e-ruḳh gulsitāñ meñ aayā to phuul Thahrā

laboñ hasrat suḳhan meñ pahuñchī to pankhuḌī thī

ye log to un dinoñ bhī nā-kHush the 'shahryārā'

ki jin dinoñ mere paas jaadū ik chhaḌī thī

nae zamanon ki chap to sar pe aa khaDi thi

meri sama'at guzishta adwar mein paDi thi

udhar diye ka badan hawa se tha para para

idhar andhere ki aankh mein ek kiran gaDi thi

falak pe tha aatishin daraKHton ka ek jangal

aur un daraKHton ke bich tarik jhonpaDi thi

samai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein

wo ek hairat jo aaine se bahut baDi thi

jise piroya tha apne hathon se tere gham ne

sada-e-girya mein hichkiyon ki ajab laDi thi

hamari palkon pe raqs karte hue sharare

aur aasman mein kahin sitaron ki phuljaDi thi

tulua subh-e-hazar KHurshid ki du'a par

bujhe charaghon ki rakh daman pe aa paDi thi

sabhi ghamin the mere piyale mein zahr pa kar

main mutmain tha ki meri takmil ki ghaDi thi

sawal-e-ruKH gulsitan mein aaya to phul Thahra

labon ki hasrat suKHan mein pahunchi to pankhuDi thi

ye log to un dinon bhi na-kHush the 'shahryara'

ki jin dinon mere pas jadu ki ek chhaDi thi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now