Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nawak-e-taza dil par mara jang purani jari ki

Aziz Hamid Madni

nawak-e-taza dil par mara jang purani jari ki

Aziz Hamid Madni

nāvak-e-tāza dil par maarā jañg purānī jaarī

aaj havā ne zaḳhm-e-kuhan meñ Duub ke tāza-kārī

jis kyārī meñ phuul khile the nāg-phanī lagtī hai

mausam-e-gul ne jaate jaate dekhā kyā dushvārī

ek taraf rū-e-jānāñ thā jaltī aañkh meñ ek taraf

sayyāroñ raakh meñ miltī raat thī ik bedārī

kū-e-bayāñ vīrānī se merā bhī baiTh gayā

muñh moḌe āvāz khaḌī hai sāz-e-rāh-sipārī

nawak-e-taza dil par mara jang purani jari ki

aaj hawa ne zaKHm-e-kuhan mein Dub ke taza-kari ki

jis kyari mein phul khile the nag-phani si lagti hai

mausam-e-gul ne jate jate dekha kya dushwari ki

ek taraf ru-e-jaanan tha jalti aankh mein ek taraf

sayyaron ki rakh mein milti raat thi ek bedari ki

ku-e-bayan ki virani se mera bhi ji baiTh gaya

munh moDe aawaz khaDi hai saz-e-rah-sipari ki

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 316)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now