Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere atraf ye kaisi sadaen raqs karti hain

Shamim Ravish

mere atraf ye kaisi sadaen raqs karti hain

Shamim Ravish

MORE BYShamim Ravish

    mire atrāf ye kaisī sadā.eñ raqs kartī haiñ

    ki yuuñ lagtā hai mujh meñ apsarā.eñ raqs kartī haiñ

    isī ummīd par shāyad kabhī ḳhushbū koī utre

    mirī yādoñ ke āñgan meñ havā.eñ raqs kartī haiñ

    mayassar nahīñ aatī mujhe ik pal bhī tanhā.ī

    ki mujh meñ ḳhvāhishoñ ḳhādmā.eñ raqs kartī haiñ

    mujhe har shaam ik sunsān jañgal khīñch letā hai

    aur is ke ba.ad phir ḳhūnī balā.eñ raqs kartī haiñ

    kabhī dekhā hai tum ne shaam manzar jab āñkhoñ meñ

    sitāre TūTte haiñ aur ghaTā.eñ raqs kartī haiñ

    kisī chaah meñ koī 'ravish' jab jaan detā hai

    zamīñ se āsmāñ tak ātmā.eñ raqs kartī haiñ

    mere atraf ye kaisi sadaen raqs karti hain

    ki yun lagta hai mujh mein apsaraen raqs karti hain

    isi ummid par shayad kabhi KHushbu koi utre

    meri yaadon ke aangan mein hawaen raqs karti hain

    mayassar hi nahin aati mujhe ek pal bhi tanhai

    ki mujh mein KHwahishon ki KHadmaen raqs karti hain

    mujhe har sham ek sunsan jangal khinch leta hai

    aur is ke baad phir KHuni balaen raqs karti hain

    kabhi dekha hai tum ne sham ka manzar jab aankhon mein

    sitare TuTte hain aur ghaTaen raqs karti hain

    kisi ki chah mein koi 'rawish' jab jaan deta hai

    zamin se aasman tak aatmaen raqs karti hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now