Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere badan mein thi teri KHushbu-e-pairahan

Sarshar Siddiqui

mere badan mein thi teri KHushbu-e-pairahan

Sarshar Siddiqui

mere badan meñ thī tirī ḳhushbū-e-pairahan

shab bhar mire vajūd meñ mahkā tirā badan

huuñ apne hujūm-e-tamannā meñ ajnabī

maiñ apne dayār-e-nafas meñ jilā-vatan

sab pattharoñ pe naam likhe the rafīqoñ ke

har zaḳhm-e-sar hai sañg-e-malāmat pe ḳhanda-zan

ab dasht-e-be-amāñ meñ shāyad mile panāh

ghar khulī fazā meñ to baḌhne lagī ghuTan

har aadmī hai paikar-e-fariyād in dinoñ

har shaḳhs ke badan pe hai kāġhaz pairahan

ḳhush-fahm haiñ ki sirf rivāyat parast haiñ

ḳhush-fikr the ki le uḌe tārīḳh kafan

is daur meñ yahāñ bhī filistīn tarah

kuchh log be-zamīñ hue kuchh log be-vatan

misl-e-sabā koī idhar aayā udhar gayā

ghar meñ basī huī hai magar bū-e-pairahan

'sarshār' maiñ ne ishq ke ma.anī badal diye

is āshiqī meñ pahle na thā vasl chalan

mere badan mein thi teri KHushbu-e-pairahan

shab bhar mere wajud mein mahka tera badan

hun apne hi hujum-e-tamanna mein ajnabi

main apne hi dayar-e-nafas mein jila-watan

sab pattharon pe nam likhe the rafiqon ke

har zaKHm-e-sar hai sang-e-malamat pe KHanda-zan

ab dasht-e-be-aman hi mein shayad mile panah

ghar ki khuli faza mein to baDhne lagi ghuTan

har aadmi hai paikar-e-fariyaad in dinon

har shaKHs ke badan pe hai kaghaz ka pairahan

KHush-fahm hain ki sirf riwayat parast hain

KHush-fikr the ki le uDe tariKH ka kafan

is daur mein yahan bhi filistin ki tarah

kuchh log be-zamin hue kuchh log be-watan

misl-e-saba koi idhar aaya udhar gaya

ghar mein basi hui hai magar bu-e-pairahan

'sarshaar' main ne ishq ke mani badal diye

is aashiqi mein pahle na tha wasl ka chalan

Source :
  • Book : Pakistani Adab (Pg. 511)
  • Author : Dr. Rashid Amjad
  • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now