Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz jab koi na hath aaya maani ke liye

Sajjad Baqar Rizvi

lafz jab koi na hath aaya maani ke liye

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    lafz jab koī na haath aayā ma.ānī ke liye

    kyā maze ham ne zabān-e-be-zabānī ke liye

    ye dorāhā hai chalo tum rañg-o-bū khoj meñ

    ham chale sahrā-e-dil bāġhbānī ke liye

    zindagī apnī thī goyā lamha-e-furqat tuul

    kuchh maze ham ne bhī umr-e-jāvedānī ke liye

    maiñ bhalā ThanDī havā se kyā ulajhtā chup rahā

    phuul ḳhush-bū bahut thī sargirānī ke liye

    TuuT paḌtī thiiñ ghaTā.eñ jin āñkheñ dekh kar

    vo bharī barsāt meñ tarse haiñ paanī ke liye

    raakh armānoñ giilī lakḌiyāñ ehsās

    ham ko ye sāmāñ mile sho.ala-bayānī ke liye

    sham.a ho fānūs se bāhar to gul ho jā.egī

    bandish-e-alfāz mat toḌo ma.ānī ke liye

    do kināre hoñ to sail-e-zindagī dariyā bane

    ek had lāzim hai paanī ravānī ke liye

    aaj kyuuñ chup chup ho 'bāqar' tum kabhī mash.hūr the

    dostoñ yāroñ meñ apnī ḳhush-bayānī ke liye

    lafz jab koi na hath aaya maani ke liye

    kya maze hum ne zaban-e-be-zabani ke liye

    ye doraha hai chalo tum rang-o-bu ki khoj mein

    hum chale sahra-e-dil ki baghbani ke liye

    zindagi apni thi goya lamha-e-furqat ka tul

    kuchh maze hum ne bhi umr-e-jawedani ke liye

    main bhala ThanDi hawa se kya ulajhta chup raha

    phul ki KHush-bu bahut thi sargirani ke liye

    TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar

    wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye

    rakh armanon ki gili lakDiyan ehsas ki

    hum ko ye saman mile shoala-bayani ke liye

    shama ho fanus se bahar to gul ho jaegi

    bandish-e-alfaz mat toDo maani ke liye

    do kinare hon to sail-e-zindagi dariya bane

    ek had lazim hai pani ki rawani ke liye

    aaj kyun chup chup ho 'baqar' tum kabhi mashhur the

    doston yaron mein apni KHush-bayani ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now