Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush nahin aae bayaban meri virani ko

Ahmad Shahryar

KHush nahin aae bayaban meri virani ko

Ahmad Shahryar

ḳhush nahīñ aa.e bayābāñ mirī vīrānī ko

ghar baḌā chāhiye is be-sar-o-sāmānī ko

Dhaal duuñ chashma-e-pur-harf ko ā.īne meñ

apnī āvāz meñ rakh duuñ tirī hairānī ko

jāda-e-nūr ko Thokar pe sajātā huā maiñ

dekhtā rahtā huuñ rañgoñ pur-afshānī ko

sar-e-sahrā mirī āñkhoñ talātum jaagā

mauja-e-reg ne sarshār kiyā paanī ko

sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pā-e-nigārāñ to hai

jis ne tābinda rakhā hai mirī peshānī ko

tujh se bhī kab huī tadbīr mirī vahshat

bhī muTThī meñ kahāñ bheñch sakā paanī ko

sard mausam ne ThiThurte hue sūraj se kahā

chādar-e-abr to hai Dhāñp le uryānī ko

'shahryār' apne ḳharābe pe hukūmat hai mirī

koī mujh ho to samjhe mirī sultānī ko

KHush nahin aae bayaban meri virani ko

ghar baDa chahiye is be-sar-o-samani ko

Dhaal dun chashma-e-pur-harf ko aaine mein

apni aawaz mein rakh dun teri hairani ko

jada-e-nur ko Thokar pe sajata hua main

dekhta rahta hun rangon ki pur-afshani ko

sar-e-sahra meri aankhon ka talatum jaga

mauja-e-reg ne sarshaar kiya pani ko

sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-nigaran hi to hai

jis ne tabinda rakha hai meri peshani ko

tujh se bhi kab hui tadbir meri wahshat ki

tu bhi muTThi mein kahan bhench saka pani ko

sard mausam ne ThiThurte hue suraj se kaha

chadar-e-abr to hai Dhanp le uryani ko

'shahryar' apne KHarabe pe hukumat hai meri

koi mujh sa ho to samjhe meri sultani ko

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now