kaisa lamha aan paDa hai
kaisā lamha aan paḌā hai
hañstā ghar vīrān paḌā hai
bistar par kuchh phuul paḌe haiñ
āñgan meñ gul-dān paḌā hai
kirchī kirchī sapne saare
dil meñ ik armān paḌā hai
log chale haiñ sahrāoñ ko
aur nagar sunsān paḌā hai
ik jānib ik nazm ke TukḌe
ik jānib unvān paḌā hai
kaisa lamha aan paDa hai
hansta ghar viran paDa hai
bistar par kuchh phul paDe hain
aangan mein gul-dan paDa hai
kirchi kirchi sapne sare
dil mein ek arman paDa hai
log chale hain sahraon ko
aur nagar sunsan paDa hai
ek jaanib ek nazm ke TukDe
ek jaanib unwan paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.