har ek zehn mein sara hisab rahta hai
har ek zehn meñ saarā hisāb rahtā hai
savāl sunñe se pahle javāb rahtā hai
vo ek moḌ jahāñ ek din luTā thā maiñ
vahīñ mirā dil-e-ḳhāna-ḳharāb rahtā hai
havā ke dam pe hai jab zindagī kā dār-o-madār
to kyuuñ ġhurūr tujhe ai habāb rahtā hai
chalegī chaal koī gardish-e-falak shāyad
ka.ī dinoñ se baḌā iztirāb rahtā hai
vo jholī kaise bhare pyaar karne vāloñ kī
isī firāq meñ TuuTā shahāb rahtā hai
mire liye haiñ musībat ye ā.ina-ḳhāne
yahāñ zamīr mirā be-naqāb rahtā hai
hasīn ḳhvāb hoñ kitne hī par koī 'ālok'
tamām umr kahāñ mahv-e-ḳhvāb rahtā hai
har ek zehn mein sara hisab rahta hai
sawal sunne se pahle jawab rahta hai
wo ek moD jahan ek din luTa tha main
wahin mera dil-e-KHana-KHarab rahta hai
hawa ke dam pe hai jab zindagi ka dar-o-madar
to kyun ghurur tujhe ai habab rahta hai
chalegi chaal koi gardish-e-falak shayad
kai dinon se baDa iztirab rahta hai
wo jholi kaise bhare pyar karne walon ki
isi firaq mein TuTa shahab rahta hai
mere liye hain musibat ye aaina-KHane
yahan zamir mera be-naqab rahta hai
hasin KHwab hon kitne hi par koi 'alok'
tamam umr kahan mahw-e-KHwab rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.