gar hamein tera sahaara hai, KHuda jaanta hai
gar hameñ terā sahārā hai, ḳhudā jāntā hai
phir to har zulm gavāra hai, ḳhudā jāntā hai
merī har raah guzartī hai tire kūche se
tū mirā qutbī sitāra hai, ḳhudā jāntā hai
zindagī tujh ko tire dard ke har ik pal ko
ham ne jis tarah guzārā hai ḳhudā jāntā hai
baiThā rahtā hai jahāñ hijr kā tanhā aañsū
merī āñkhoñ kā kināra hai, ḳhudā jāntā hai
dil dhaḌaktā hai to uThtī haiñ badan meñ Tīseñ
ishq ne bāñdh ke maarā hai, ḳhudā jāntā hai
gar hamein tera sahaara hai, KHuda jaanta hai
phir to har zulm gawara hai, KHuda jaanta hai
meri har rah guzarti hai tere kuche se
tu mera qutbi sitara hai, KHuda jaanta hai
zindagi tujh ko tere dard ke har ek pal ko
hum ne jis tarah guzara hai KHuda jaanta hai
baiTha rahta hai jahan hijr ka tanha aansu
meri aankhon ka kinara hai, KHuda jaanta hai
dil dhaDakta hai to uThti hain badan mein Tisen
ishq ne bandh ke mara hai, KHuda jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.