Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin

Aziz Hamid Madni

dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin

Aziz Hamid Madni

diloñ uqda-kushā.ī vaqt hai ki nahīñ

ye aadmī ḳhudā.ī vaqt hai ki nahīñ

kaho sitāra-shanāso falak haal kaho

ruḳhoñ se parda-kushā.ī vaqt hai ki nahīñ

havā narm-ravī se javāñ huā hai koī

fareb-e-tañg-qabā.ī vaqt hai ki nahīñ

ḳhalal-pazīr huā rabt-e-mehr-o-māh meñ vaqt

batā ye tujh se judā.ī vaqt hai ki nahīñ

alag siyāsat-e-darbāñ se dil meñ hai ik baat

ye vaqt merī rasā.ī vaqt hai ki nahīñ

diloñ ko markaz-e-asrār kar ga.ī jo nigah

usī nigah gadā.ī vaqt hai ki nahīñ

dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin

ye aadmi ki KHudai ka waqt hai ki nahin

kaho sitara-shanaso falak ka haal kaho

ruKHon se parda-kushai ka waqt hai ki nahin

hawa ki narm-rawi se jawan hua hai koi

fareb-e-tang-qabai ka waqt hai ki nahin

KHalal-pazir hua rabt-e-mehr-o-mah mein waqt

bata ye tujh se judai ka waqt hai ki nahin

alag siyasat-e-darban se dil mein hai ek baat

ye waqt meri rasai ka waqt hai ki nahin

dilon ko markaz-e-asrar kar gai jo nigah

usi nigah ki gadai ka waqt hai ki nahin

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now