Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana

Ada Jafarey

achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana

Ada Jafarey

achānak dilrubā mausam dil-āzār ho jaanā

duā āsāñ nahīñ rahnā suḳhan dushvār ho jaanā

tumheñ dekheñ nigāheñ aur tum ko nahīñ dekheñ

mohabbat ke sabhī rishtoñ yuuñ nādār ho jaanā

abhī to be-niyāzī meñ taḳhātub ḳhushbū thī

hameñ achchhā lagā thā dard dildār ho jaanā

agar sach itnā zālim hai to ham se jhuuT bolo

hameñ aatā hai patjhaḌ ke dinoñ gul-bār ho jaanā

abhī kuchh an-kahe alfāz bhī haiñ kunj-e-mizhgāñ meñ

agar tum is taraf aao sabā-raftār ho jaanā

havā to ham-safar Thahrī samajh meñ kis tarah aa.e

havāoñ hamārī raah meñ dīvār ho jaanā

abhī to silsila apnā zamīñ se āsmāñ tak thā

abhī dekhā thā rātoñ sahar-āsār ho jaanā

hamāre shahr ke logoñ ab ahvāl itnā hai

kabhī aḳhbār paḌh lenā kabhī aḳhbār ho jaanā

achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana

dua aasan nahin rahna suKHan dushwar ho jaana

tumhein dekhen nigahen aur tum ko hi nahin dekhen

mohabbat ke sabhi rishton ka yun nadar ho jaana

abhi to be-niyazi mein taKHatub ki si KHushbu thi

hamein achchha laga tha dard ka dildar ho jaana

agar sach itna zalim hai to hum se jhuT hi bolo

hamein aata hai patjhaD ke dinon gul-bar ho jaana

abhi kuchh an-kahe alfaz bhi hain kunj-e-mizhgan mein

agar tum is taraf aao saba-raftar ho jaana

hawa to ham-safar Thahri samajh mein kis tarah aae

hawaon ka hamari rah mein diwar ho jaana

abhi to silsila apna zamin se aasman tak tha

abhi dekha tha raaton ka sahar-asar ho jaana

hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai

kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now