Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid muflis ki

Waqar Riyaz

eid muflis ki

Waqar Riyaz

MORE BYWaqar Riyaz

    pūchho mujh se eid muflis

    maiñ ne dekhī hai eid muflis

    le ke hamrāh qāfile ġham ke

    aa ke pahuñchī hai eid muflis

    eid ke din bhī ghar meñ sannāTā

    jaise soī hai eid muflis

    kis ne sochā hai ek lamha bhī

    kaise hotī hai eid muflis

    eid ke din bhī dil rahā maġhmūm

    jab se dekhī hai eid muflis

    yuuñ to raqsāñ thiiñ chār-sū ḳhushiyāñ

    rote guzrī hai eid muflis

    bachche pahne haiñ maañg kar kapḌe

    jab bhī aatī hai eid muflis

    mujh se pūchho 'vaqār' kaisī thī

    maiñ ne dekhī hai eid muflis ke

    puchho mujh se hi eid muflis ki

    main ne dekhi hai eid muflis ki

    le ke hamrah qafile gham ke

    aa ke pahunchi hai eid muflis ki

    eid ke din bhi ghar mein sannaTa

    jaise soi hai eid muflis ki

    kis ne socha hai ek lamha bhi

    kaise hoti hai eid muflis ki

    eid ke din bhi dil raha maghmum

    jab se dekhi hai eid muflis ki

    yun to raqsan thin chaar-su KHushiyan

    rote guzri hai eid muflis ki

    bachche pahne hain mang kar kapDe

    jab bhi aati hai eid muflis ki

    mujh se puchho 'waqar' kaisi thi

    main ne dekhi hai eid muflis ke

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now