Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ecstasy

Parveen Shakir

ecstasy

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    sabz maddham raushnī meñ surḳh āñchal dhanak

    sard kamre meñ machaltī garm sāñsoñ mahak

    bāzuoñ ke saḳht halqe meñ koī nāzuk badan

    silvaTeñ malbūs par āñchal bhī kuchh Dhalkā huā

    garmi-e-ruḳhsār se dahkī huī ThanDī havā

    narm zulfoñ se mulā.em uñgliyoñ chheḌ-chhāḌ

    surḳh hoñToñ par sharārat ke kisī lamhe aks

    reshmīñ bāñhoñ meñ chūḌī kabhī maddham khanak

    sharmgīñ lahjoñ meñ dhīre se kabhī chāhat baat

    do diloñ dhaḌkanoñ meñ gūñjtī thī ik sadā

    kāñpte hoñToñ pe thī allāh se sirf ik duā

    kaash ye lamhe Thahar jaa.eñ Thahar jaa.eñ zarā!

    sabz maddham raushni mein surKH aanchal ki dhanak

    sard kamre mein machalti garm sanson ki mahak

    bazuon ke saKHt halqe mein koi nazuk badan

    silwaTen malbus par aanchal bhi kuchh Dhalka hua

    garmi-e-ruKHsar se dahki hui ThanDi hawa

    narm zulfon se mulaem ungliyon ki chheD-chhaD

    surKH honTon par shararat ke kisi lamhe ka aks

    reshmin banhon mein chuDi ki kabhi maddham khanak

    sharmgin lahjon mein dhire se kabhi chahat ki baat

    do dilon ki dhaDkanon mein gunjti thi ek sada

    kanpte honTon pe thi allah se sirf ek dua

    kash ye lamhe Thahar jaen Thahar jaen zara!

    Source :
    • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 35)
    • Author : Zahid Hasan
    • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
    • Edition : 2002

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now