shajar pe baiThe hue hain panchhi tanaw mein sab
shajar pe baiThe hue haiñ panchhī tanāv meñ sab
abhī shikārī haiñ apne apne paḌāv meñ sab
mohabbateñ ho rahī haiñ zaḳhmī kise ḳhabar hai
abhī haiñ masrūf apne rishte chunāv meñ sab
nahīñ tum aise nahīñ ho jaisā ye paḌh rahe haiñ
hameñ patā hai qasīda-ḳhvāñ haiñ dabāv meñ sab
banā ke din bhar mirī ayādat ko ik bahāna
namak lagāne ko aate rahte haiñ ghaav meñ sab
tumhāre andar ke aadmī se nahīñ haiñ vāqif
ye log baiThe hue haiñ kāġhaz kī naav meñ sab
shajar pe baiThe hue hain panchhi tanaw mein sab
abhi shikari hain apne apne paDaw mein sab
mohabbaten ho rahi hain zaKHmi kise KHabar hai
abhi hain masruf apne rishte chunaw mein sab
nahin tum aise nahin ho jaisa ye paDh rahe hain
hamein pata hai qasida-KHwan hain dabaw mein sab
bana ke din bhar meri ayaadat ko ek bahana
namak lagane ko aate rahte hain ghaw mein sab
tumhaare andar ke aadmi se nahin hain waqif
ye log baiThe hue hain kaghaz ki naw mein sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.