Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ikkiswin sadi ka aadmi

Saghar Khayyami

ikkiswin sadi ka aadmi

Saghar Khayyami

MORE BYSaghar Khayyami

    duniyā taraqqiyoñ pe hai ma.abūd qasam

    insān kar rahā hai taraqqī qadam qadam

    rakkheñge is tarah qad-e-bālā ko medium

    lambe manush se bāñdh ke naaTe ab qalam

    Dhal jā.eñge shabāb se pahle jo apne sin

    gamloñ meñ bo.e jā.eñge bachche bhī ek din

    insāñ ne āsmān pe qabza dikhā diyā

    is aadmī ke ḳhuun ko us meñ chaḌhā diyā

    aurat maġhz mard ke sar par lagā diyā

    is tajribe ne qais ko lailā banā diyā

    bīmār dil ke aap jo motor lagā.eñge

    āshiq firāq-e-yār meñ bhoñpū bajā.eñge

    kuchh din ke ba.ad aur kareñge taraqqiyāñ

    laḌke baneñge Tiin ke shīshe laḌkiyāñ

    sar par lagā.ī jā.eñgī diesel Tankiyāñ

    starter kaam kareñgī dolattiyāñ

    kuchh din ke ba.ad dekhnā smart ho gayā

    cick mārne se aadmī start ho gayā

    sciencī mojizāt, adāoñ meñ dekhnā

    computeroñ kaam vafāoñ meñ dekhnā

    pahiye lagā.e jā.eñge paañv meñ dekhnā

    ābād hoñge shahr ḳhalāoñ meñ dekhnā

    ustād apnā maan ke shā.er machine ko

    goḌeñge tracktor se ġhazal zamīn ko

    insān cartōn hai putlā hañsī hai

    gurde hamāre, jism tirā, sar kisī hai

    afsos maqām nahīñ hai ḳhushī hai

    panDit ke sar meñ maġhz kisī maulvī hai

    koshish bhī kar rahe haiñ hamīñ ittihād

    insāñ jaḌoñ ko kaaT rahā hai fasād

    faulād machine haqīqat batā.egī

    kitnī hai tere dil meñ mohabbat batā.egī

    kaise kaTegī ye shab-e-furqat batā.egī

    jo haal hai shabāb hālat batā.egī

    ab apnī aarzū se na ham ko dabā.eñge

    ab laḌkiyoñ ke naḳhre creneñ uThā.eñge

    heater se sho.ala husn bhaḌkāyā jā.egā

    ab ishq bhī machine se farmāyā jā.egā

    shauhar bhī ik machine hai samjhāyā jā.egā

    āshiq ko bhī machine se taḌpāyā jā.egā

    kuchh din ke ba.ad dekhnā sciencī den se

    jannat ko bheje jā.eñge murde plane se

    pūchheñge ham se log to ham kyā batā.eñge

    kis shakl thā aadmī photo dikhā.eñge

    bachchoñ ko madrasoñ meñ na murġhā banā.eñge

    rocket banā ke un ko mudarris uḌā.eñge

    deñge duā buzurg ye tifl-e-zahīn ko

    beTā nazar lage na tumhārī machine ko

    insān kyā thaa, bhuul na jaa.eñ aziiz log

    insān aur machine meñ rakkheñ tamīz log

    ban kar machine ho ga.e behad lazīz log

    mumkin hai piiTh par likheñ horn-please log

    'sāġhar' agar machine se yūñhī juḌeñge log

    daa.eñ se baa.eñ haath dikhā kar muḌeñge log

    computeroñ se ke mahūrat le ā.eñge

    bhagvān ke bhajan bhī recorder sunā.eñge

    panDit bechāre roTiyāñ kis shai khā.eñge

    mandir meñ ḳhālī baiTh ke ghanTa bajā.eñge

    matlab rahegā koī na mullā ke diin se

    paḌh leñge log ghar pe namāzeñ machine se

    jab se huzūr ye kaleñ ījād ho ga.iiñ

    kitnī kalā.eñ haath barbād ho ga.iiñ

    ġhunDoñ ke ghar chalī ga.iiñ ābād ho ga.iiñ

    kitnī laḌkiyāñ yahāñ nāshād ho ga.iiñ

    ḳhat āshiqī ke likhtī nahīñ dil ke ḳhuun se

    milne va.ada kartī haiñ ab telephone se

    ta.alīm de rahe haiñ to vo bhī machine se

    paate haiñ ab sazā.eñ bhī qaidī machine se

    maanā ki kaam hotā hai jaldī machine se

    mazdūr ḳharāb hai miTTī machine se

    motor hai jin ke paas vo ahl-e-yaqīn haiñ

    paidal haiñ jitne log vo kauḌī ke tiin haiñ

    duniya taraqqiyon pe hai mabud ki qasam

    insan kar raha hai taraqqi qadam qadam

    rakkhenge is tarah qad-e-baala ko medium

    lambe manush se bandh ke naTe ki ab qalam

    Dhal jaenge shabab se pahle jo apne sin

    gamlon mein boe jaenge bachche bhi ek din

    insan ne aasman pe qabza dikha diya

    is aadmi ke KHun ko us mein chaDha diya

    aurat ka maghz mard ke sar par laga diya

    is tajribe ne qais ko laila bana diya

    bimar dil ke aap jo motor lagaenge

    aashiq firaq-e-yar mein bhonpu bajaenge

    kuchh din ke baad aur karenge taraqqiyan

    laDke banenge Tin ke shishe ki laDkiyan

    sar par lagai jaengi diesel ki Tankiyan

    starter ka kaam karengi dolattiyan

    kuchh din ke baad dekhna smart ho gaya

    cick marne se aadmi start ho gaya

    scienci mojizat, adaon mein dekhna

    computeron ka kaam wafaon mein dekhna

    pahiye lagae jaenge panw mein dekhna

    aabaad honge shahr KHalaon mein dekhna

    ustad apna man ke shaer machine ko

    goDenge tracktor se ghazal ki zamin ko

    insan cartoon hai putla hansi ka hai

    gurde hamare, jism tira, sar kisi ka hai

    afsos ka maqam nahin hai KHushi ka hai

    panDit ke sar mein maghz kisi maulwi ka hai

    koshish bhi kar rahe hain hamin ittihad ki

    insan jaDon ko kaT raha hai fasad ki

    faulad ki machine haqiqat bataegi

    kitni hai tere dil mein mohabbat bataegi

    kaise kaTegi ye shab-e-furqat bataegi

    jo haal hai shabab ka haalat bataegi

    ab apni aarzu se na hum ko dabaenge

    ab laDkiyon ke naKHre crenen uThaenge

    heater se shoala husn ka bhaDkaya jaega

    ab ishq bhi machine se farmaya jaega

    shauhar bhi ek machine hai samjhaya jaega

    aashiq ko bhi machine se taDpaya jaega

    kuchh din ke baad dekhna scienci den se

    jannat ko bheje jaenge murde plane se

    puchhenge hum se log to hum kya bataenge

    kis shakl ka tha aadmi photo dikhaenge

    bachchon ko madrason mein na murgha banaenge

    rocket bana ke un ko mudarris uDaenge

    denge dua buzurg ye tifl-e-zahin ko

    beTa nazar lage na tumhaari machine ko

    insan kya tha, bhul na jaen aziz log

    insan aur machine mein rakkhen tamiz log

    ban kar machine ho gae behad laziz log

    mumkin hai piTh par likhen horn-please log

    'saghar' agar machine se yunhi juDenge log

    daen se baen hath dikha kar muDenge log

    computeron se ja ke mahurat le aaenge

    bhagwan ke bhajan bhi recorder sunaenge

    panDit bechaare roTiyan kis shai ki khaenge

    mandir mein KHali baiTh ke ghanTa bajaenge

    matlab rahega koi na mulla ke din se

    paDh lenge log ghar pe namazen machine se

    jab se huzur ye kalen ijad ho gain

    kitni kalaen hath ki barbaad ho gain

    ghunDon ke ghar chali gain aabaad ho gain

    kitni hi laDkiyan yahan nashad ho gain

    KHat aashiqi ke likhti nahin dil ke KHun se

    milne ka wada karti hain ab telephone se

    talim de rahe hain to wo bhi machine se

    pate hain ab sazaen bhi qaidi machine se

    mana ki kaam hota hai jaldi machine se

    mazdur ki KHarab hai miTTi machine se

    motor hai jin ke pas wo ahl-e-yaqin hain

    paidal hain jitne log wo kauDi ke tin hain

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 223)
    • Author : Saghar Khayyami
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
    • Edition : 2012

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now