ye bhi sach hai ki nahin hai koi rishta tujhse
ye bhī sach hai ki nahīñ hai koī rishta tujh se
jitnī ummīdeñ haiñ vābasta haiñ tanhā tujh se
ham ne pahlī hī nazar meñ tujhe pahchān liyā
muddatoñ maiñ na hue log shanāsā tujh se
shab-e-tārīk firozāñ tirī ḳhushbū se huī
sub.h kā rang huā aur bhī gahrā tujh se
be-ta.alluq bhī haiñ har rang har andāz se ham
vo ta'alluq bhī hai qaa.em jo kabhī thā tujh se
ye alag baat zabāñ saath na de pā.egī
dil kā jo haal hai kahnā to paḌegā tujh se
tere siine meñ bhī ik daaġh hai tanhā.ī kā
jāntā maiñ to kabhī duur na hotā tujh se
aañkh bhī parda hai takne nahīñ paatī sūraj
dil bhī dīvār hai milne nahīñ detā tujh se
kyuuñ azal se tire hamrāh chalā aatā hai
jaane kyā chāhtā hai naqsh-e-kaf-e-pā tujh se
ye alag baat tujhe TuuT ke chāhā lekin
dil-e-be-māya ne kuchh bhī nahīñ chāhā tujh se
raat aa.ī to talab sham.a nahīñ kī dil ne
dhuup niklī hai to saaya nahīñ māñgā tujh se
jis se vābasta hai 'shahzād' muqaddar terā
raushnī maañg rahā hai vo sitāra tujh se
ye bhi sach hai ki nahin hai koi rishta tujh se
jitni ummiden hain wabasta hain tanha tujh se
hum ne pahli hi nazar mein tujhe pahchan liya
muddaton main na hue log shanasa tujh se
shab-e-tarik firozan teri KHushbu se hui
subh ka rang hua aur bhi gahra tujh se
be-talluq bhi hain har rang har andaz se hum
wo ta'alluq bhi hai qaem jo kabhi tha tujh se
ye alag baat zaban sath na de paegi
dil ka jo haal hai kahna to paDega tujh se
tere sine mein bhi ek dagh hai tanhai ka
jaanta main to kabhi dur na hota tujh se
aankh bhi parda hai takne nahin pati suraj
dil bhi diwar hai milne nahin deta tujh se
kyun azal se tere hamrah chala aata hai
jaane kya chahta hai naqsh-e-kaf-e-pa tujh se
ye alag baat tujhe TuT ke chaha lekin
dil-e-be-maya ne kuchh bhi nahin chaha tujh se
raat aai to talab shama nahin ki dil ne
dhup nikli hai to saya nahin manga tujh se
jis se wabasta hai 'shahzad' muqaddar tera
raushni mang raha hai wo sitara tujh se
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 927)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.