Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek KHema-e-shab jis ka nam duniya tha

Qaisarul Jafri

wo ek KHema-e-shab jis ka nam duniya tha

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    vo ek ḳhema-e-shab jis naam duniyā thā

    kabhī dhuāñ to kabhī chāñdnī lagtā thā

    hamārī aag bhī taapī hameñ bujhā bhī diyā

    jahāñ paḌāv kiyā thā ajiib sahrā thā

    havā meñ merī anā bhīgtī rahī varna

    maiñ āshiyāne meñ barsāt kaaT saktā thā

    jo āsmān bhī TuuTā girā mirī chhat par

    mire makāñ se kisī bad-duā rishta thā

    tum aa ga.e ho ḳhudā subūt hai ye bhī

    qasam ḳhudā abhī maiñ ne tum ko sochā thā

    zamīñ pe TuuT ke kaise girā ġhurūr us

    abhī abhī to use āsmāñ pe dekhā thā

    bhañvar lapeT ke nīche utar gayā shāyad

    abhī vo shaam se pahle nadī pe baiThā thā

    maiñ shāḳh-e-zard ke mātam meñ rah gayā 'qaisar'

    ḳhizāñ zahr shajar jaḌoñ meñ phailā thā

    wo ek KHema-e-shab jis ka nam duniya tha

    kabhi dhuan to kabhi chandni sa lagta tha

    hamari aag bhi tapi hamein bujha bhi diya

    jahan paDaw kiya tha ajib sahra tha

    hawa mein meri ana bhigti rahi warna

    main aashiyane mein barsat kaT sakta tha

    jo aasman bhi TuTa gira meri chhat par

    mere makan se kisi bad-dua ka rishta tha

    tum aa gae ho KHuda ka subut hai ye bhi

    qasam KHuda ki abhi main ne tum ko socha tha

    zamin pe TuT ke kaise gira ghurur us ka

    abhi abhi to use aasman pe dekha tha

    bhanwar lapeT ke niche utar gaya shayad

    abhi wo sham se pahle nadi pe baiTha tha

    main shaKH-e-zard ke matam mein rah gaya 'qaisar'

    KHizan ka zahr shajar ki jaDon mein phaila tha

    Source :
    • Book : Agar Darya Mila Hota (Pg. 48)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now