Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya haqiqat kahun ki kya hai ishq

Meer Taqi Meer

kya haqiqat kahun ki kya hai ishq

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kyā haqīqat kahūñ ki kyā hai ishq

    haq-shanāsoñ ke haañ ḳhudā hai ishq

    dil lagā ho to jahāñ se uThā

    maut naam pyaar hai ishq

    aur tadbīr ko nahīñ kuchh daḳhl

    ishq ke dard davā hai ishq

    kyā Dubāyā muhīt meñ ġham ke

    ham ne jaanā thā āshnā hai ishq

    ishq se nahīñ koī ḳhālī

    dil se le arsh tak bharā hai ishq

    kohkan kyā pahāḌ kāTegā

    parde meñ zor-āzmā hai ishq

    ishq hai ishq karne vāloñ ko

    kaisā kaisā baham kiyā hai ishq

    kaun maqsad ko ishq bin pahuñchā

    aarzū ishq mudda.ā hai ishq

    'mīr' marnā paḌe hai ḳhūbāñ par

    ishq mat kar ki bad balā hai ishq

    kya haqiqat kahun ki kya hai ishq

    haq-shanason ke han KHuda hai ishq

    dil laga ho to ji jahan se uTha

    maut ka nam pyar ka hai ishq

    aur tadbir ko nahin kuchh daKHl

    ishq ke dard ki dawa hai ishq

    kya Dubaya muhit mein gham ke

    hum ne jaana tha aashna hai ishq

    ishq se ja nahin koi KHali

    dil se le arsh tak bhara hai ishq

    kohkan kya pahaD kaTega

    parde mein zor-azma hai ishq

    ishq hai ishq karne walon ko

    kaisa kaisa baham kiya hai ishq

    kaun maqsad ko ishq bin pahuncha

    aarzu ishq muddaa hai ishq

    'mir' marna paDe hai KHuban par

    ishq mat kar ki bad bala hai ishq

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    MEER TAQI MEER - KYA HAQEEQAT KAHUN KI Fahad Husain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now