Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi gul hai gulistan mein wahi hai sham mahfil mein

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

wahi gul hai gulistan mein wahi hai sham mahfil mein

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim

    vahī gul hai gulistāñ meñ vahī hai sham' mahfil meñ

    vahī yūsuf hai zindāñ meñ vahī lailā hai mahmil meñ

    hazāroñ ban ga.ī haiñ kushtagān-e-ḳhāl qabreñ

    jagah til bhar nahīñ baaqī zamīn-e-kū-e-qātil meñ

    nahīñ raushan diloñ qadr kuchh arbāb-e-zāhir ko

    ijāzat baiThne sham' ko kis ne mahfil meñ

    ye 'ālam nuur hai jalva-e-dāġh-e-mohabbat se

    nahīñ kuchh farq mere dil meñ aur ḳhurshīd-e-manzil meñ

    siyāhī-e-ḳhūn-e-saudā ye vaqt-e-qatl kaam aa.ī

    lagāyā surma chashm-e-jauhar-e-shamshīr-e-qātil meñ

    ye kis zohra-jabīñ anjuman meñ aamad aamad hai

    bichhāyā hai qamar ne chāñdnī farsh mahfil meñ

    nazar aatā nahīñ mānind-e-abrū ek māh-e-nau

    mahīnoñ rahtī haiñ vo hasrateñ madd-e-muqābil meñ

    na ho munkir na ho munkir ḳhudā vo hai ḳhudā vo hai

    rujūa qalb ho jaate hai jis samt mushkil meñ

    nahīñ jauhar liye haiñ bas-ki shauq-e-qatl meñ bose

    hamāre naqsh-e-dandāñ haiñ lab-e-shamshīr-e-qātil meñ

    vo āvāra huuñ maiñ hai ḳhatm mujh par tez-raftārī

    ki haiñ miqrāz donoñ paañv mere qat-e-manzil meñ

    tumhāre gesu-e-pechāñ jab tārīf likhtā huuñ

    qalam pāband ho jaatā hai misroñ salāsil meñ

    falak par jaa.e 'iisā hai gayā zer-e-zamīñ qārūñ

    zamīn-o-āsmāñ farq paayā haqq-o-bātil meñ

    bashar tanhā nahīñ dīvāne us shamshād-qāmat ke

    shajar jakḌe hue haiñ ishq-e-pechī salāsil meñ

    miTā harf-e-mohabbat aap ke aariz pe ḳhat niklā

    hamārā naam ab likhiye to likhiye fard-e-bātil meñ

    umīd-e-ma.adilat us shaah se hai mujh ko ai 'nāzim'

    huī jis vilādat bhī zamān-e-shāh-e-ādil meñ

    wahi gul hai gulistan mein wahi hai sham' mahfil mein

    wahi yusuf hai zindan mein wahi laila hai mahmil mein

    hazaron ban gai hain kushtagan-e-KHal ki qabren

    jagah til bhar nahin baqi zamin-e-ku-e-qatil mein

    nahin raushan dilon ki qadr kuchh arbab-e-zahir ko

    ijazat baiThne ki sham' ko di kis ne mahfil mein

    ye 'alam nur ka hai jalwa-e-dagh-e-mohabbat se

    nahin kuchh farq mere dil mein aur KHurshid-e-manzil mein

    siyahi-e-KHun-e-sauda ki ye waqt-e-qatl kaam aai

    lagaya surma chashm-e-jauhar-e-shamshir-e-qatil mein

    ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai

    bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein

    nazar aata nahin manind-e-abru ek mah-e-nau

    mahinon rahti hain wo hasraten madd-e-muqabil mein

    na ho munkir na ho munkir KHuda wo hai KHuda wo hai

    rujua qalb ho jate hai jis ki samt mushkil mein

    nahin jauhar liye hain bas-ki shauq-e-qatl mein bose

    hamare naqsh-e-dandan hain lab-e-shamshir-e-qatil mein

    wo aawara hun main hai KHatm mujh par tez-raftari

    ki hain miqraaz donon panw mere qat-e-manzil mein

    tumhaare gesu-e-pechan ki jab tarif likhta hun

    qalam paband ho jata hai misron ki salasil mein

    falak par jae 'isa hai gaya zer-e-zamin qarun

    zamin-o-asman ka farq paya haqq-o-baatil mein

    bashar tanha nahin diwane us shamshad-qamat ke

    shajar jakDe hue hain ishq-e-pechi ki salasil mein

    miTa harf-e-mohabbat aap ke aariz pe KHat nikla

    hamara nam ab likhiye to likhiye fard-e-baatil mein

    umid-e-madilat us shah se hai mujh ko ai 'nazim'

    hui jis ki wiladat bhi zaman-e-shah-e-adil mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now