Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gale se dil ke rahi yun hai zulf-e-yar lipaT

Nazeer Akbarabadi

gale se dil ke rahi yun hai zulf-e-yar lipaT

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    gale se dil ke rahī yuuñ hai zulf-e-yār lipaT

    ki juuñ sapere gardan meñ jaa.e maar lipaT

    maze uThāte kamar-band tarah se agar

    kamar se yaar jaate ham ek baar lipaT

    hamāre paas vo aayā to khol kar āġhosh

    ye chāhā jāveñ ham us se ba-inkisār lipaT

    vahīñ vo duur sarak kar itaab se bolā

    hamāre saath na ho kar be-qarār lipaT

    hameñ jo chāheñ to lapTeñ 'nazīr' ab varna

    chāhe lipTe so mumkin nahīñ hazār lipaT

    gale se dil ke rahi yun hai zulf-e-yar lipaT

    ki jun sapere ki gardan mein jae mar lipaT

    maze uThate kamar-band ki tarah se agar

    kamar se yar ki jate hum ek bar lipaT

    hamare pas wo aaya to khol kar aaghosh

    ye chaha jawen hum us se ba-inkisar lipaT

    wahin wo dur sarak kar itab se bola

    hamare sath na ho kar tu be-qarar lipaT

    hamein jo chahen to lapTen 'nazir' ab warna

    tu chahe lipTe so mumkin nahin hazar lipaT

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now