Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rindan-e-baada-nosh ki chhagal uTha to la

Natiq Gulavthi

rindan-e-baada-nosh ki chhagal uTha to la

Natiq Gulavthi

MORE BYNatiq Gulavthi

  rindān-e-bāda-nosh chhāgal uThā to

  bād-e-bahār dauḌ ke bādal uThā to

  aa umr-e-rafta hashr ke dam-ḳham bhī dekh leñ

  tūfān-e-zindagī vo halchal uThā to

  sar se dayār-e-ġham ke sanīchar utaar de

  mañgal hai jis meñ ke vo jañgal uThā to

  lālach batā ke duur se vaa.iz rañg dekh

  ḳhālī kyuuñ na ho koī botal uThā to

  ai zindagī junūñ na sahī be-ḳhudī sahī

  kuchh bhī apnī aql se pāgal uThā to

  aatī hai yaad sub.h-e-masarrat baar baar

  ḳhurshīd aate aate use kal uThā to

  kashtī hai ghaaT par to chale kyuuñ na daur aaj

  kal bas chale chale na chale chal uThā to

  'nātiq' junūn-e-ḳhidmat-e-ahbāb kis liye

  dekheñ to kyā milā hai tujhe phal uThā to

  rindan-e-baada-nosh ki chhagal uTha to la

  baad-e-bahaar dauD ke baadal uTha to la

  aa umr-e-rafta hashr ke dam-KHam bhi dekh len

  tufan-e-zindagi ki wo halchal uTha to la

  sar se dayar-e-gham ke sanichar utar de

  mangal hai jis mein ja ke wo jangal uTha to la

  lalach bata ke dur se waiz ka rang dekh

  KHali hi kyun na ho koi botal uTha to la

  ai zindagi junun na sahi be-KHudi sahi

  tu kuchh bhi apni aql se pagal uTha to la

  aati hai yaad subh-e-masarrat ki bar bar

  KHurshid aate aate use kal uTha to la

  kashti hai ghaT par to chale kyun na daur aaj

  kal bas chale chale na chale chal uTha to la

  'natiq' junun-e-KHidmat-e-ahbab kis liye

  dekhen to kya mila hai tujhe phal uTha to la

  Source :
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now