Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi

Ghulam Mohammad Qasir

milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    milne har aas ke pīchhe an-dekhī majbūrī thī

    raah meñ dasht nahīñ paḌtā thā chaar gharoñ duurī thī

    jazboñ dam ghuTne lagā hai lafzoñ ke ambār tale

    pahle nishāñ-zad kar lenā thā jitnī baat zarūrī thī

    terī shakl ke ek sitāre ne pal bhar sargoshī

    shāyad māh-o-sāl-e-vafā bas itnī mazdūrī thī

    pyaar gayā to kaise milte rañg se rañg aur ḳhvāb se ḳhvāb

    ek mukammal ghar ke andar har tasvīr adhūrī thī

    ek ġhazāl ko duur se dekhā aur ġhazal tayyār huī

    sahme sahme se lafzoñ meñ halkī kastūrī thī

    milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi

    rah mein dasht nahin paDta tha chaar gharon ki duri thi

    jazbon ka dam ghuTne laga hai lafzon ke ambar tale

    pahle nishan-zad kar lena tha jitni baat zaruri thi

    teri shakl ke ek sitare ne pal bhar sargoshi ki

    shayad mah-o-sal-e-wafa ki bas itni mazduri thi

    pyar gaya to kaise milte rang se rang aur KHwab se KHwab

    ek mukammal ghar ke andar har taswir adhuri thi

    ek ghazal ko dur se dekha aur ghazal tayyar hui

    sahme sahme se lafzon mein halki si kasturi thi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Mohammad Qasir

    Ghulam Mohammad Qasir

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now