Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dil bahut udas hai thoDa sa jhuT bol

Javed Saba

ye dil bahut udas hai thoDa sa jhuT bol

Javed Saba

MORE BYJaved Saba

    ye dil bahut udaas hai thoḌā jhuuT bol

    bhārī paḌegā sach abhī halkā jhuuT bol

    apnī taraf se gaḌ.h koī achchhī dāstāñ

    sach apne paas rakh koī achchhā jhuuT bol

    zebā hai terī chashm-e-siyah ko safed jhuuT

    jhūTe kahīñ ke hasb-e-tamannā jhuuT bol

    shīrīñ suḳhan hai shīrīñ bayānī rakh bharam

    ye bhī nahīñ kahā thā ki kaḌvā jhuuT bol

    tanhā.iyoñ shaam hai dil Dūbne ko hai

    is jāñ-ba-lab marīz se thoḌā jhuuT bol

    nashsha na toḌ merā gumāñ ke nashe meñ huuñ

    mujh pe mar-miTā hai bas itnā jhuuT bol

    ye dil bahut udas hai thoDa sa jhuT bol

    bhaari paDega sach abhi halka sa jhuT bol

    apni taraf se gaDh koi achchhi si dastan

    sach apne pas rakh koi achchha sa jhuT bol

    zeba hai teri chashm-e-siyah ko safed jhuT

    jhuTe kahin ke hasb-e-tamanna sa jhuT bol

    shirin suKHan hai shirin bayani ka rakh bharam

    ye bhi nahin kaha tha ki kaDwa sa jhuT bol

    tanhaiyon ki sham hai dil Dubne ko hai

    is jaan-ba-lab mariz se thoDa sa jhuT bol

    nashsha na toD mera guman ke nashe mein hun

    tu mujh pe mar-miTa hai bas itna sa jhuT bol

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now