Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khinch ke mahbub ke daman ki taraf

Arsh Malsiyani

khinch ke mahbub ke daman ki taraf

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    khiñch ke mahbūb ke dāman taraf

    aa ga.e aur bhī uljhan taraf

    tum chhupāte raho kitnā us ko

    bijliyāñ ā.eñgī ḳhirman taraf

    har taraf nuur taḌkā dekhā

    kaun aayā mire āñgan taraf

    ai chaman vaalo rukūñ jā.ūñ

    ik dhuāñ hai nasheman taraf

    ḳhair-maqdam ko jhukeñgī shāḳheñ

    ik zarā aao to gulshan taraf

    'arsh' kis dost ko apnā samjhūñ

    sab ke sab dost haiñ dushman taraf

    khinch ke mahbub ke daman ki taraf

    aa gae aur bhi uljhan ki taraf

    tum chhupate raho kitna us ko

    bijliyan aaengi KHirman ki taraf

    har taraf nur ka taDka dekha

    kaun aaya mere aangan ki taraf

    ai chaman walo rukun ya jaun

    ek dhuan sa hai nasheman ki taraf

    KHair-maqdam ko jhukengi shaKHen

    ek zara aao to gulshan ki taraf

    'arsh' kis dost ko apna samjhun

    sab ke sab dost hain dushman ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now