Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

judai had se baDhi to visal ho hi gaya

Ateeq Allahabadi

judai had se baDhi to visal ho hi gaya

Ateeq Allahabadi

MORE BYAteeq Allahabadi

    judā.ī had se baḌhī to visāl ho gayā

    chalo vo aaj mirā ham-ḳhayāl ho gayā

    navāztā thā hamesha vo ġham daulat se

    aur is ḳhazāne se maiñ maalā maal ho gayā

    maiñ aadmī huuñ to himmat na TūTtī kaise

    ġhamoñ ke bojh se āḳhir niDhāl ho gayā

    ye aur baat ki vo aadmī na ban paayā

    magar zamāne ḳhātir misāl ho gayā

    vo āftāb ki din meñ uruuj thā jis

    huī jo shaam to us zavāl ho gayā

    maiñ kārobār-e-jahāñ meñ ulajh gayā itnā

    ki ḳhud se milnā bhī ab to muhāl ho gayā

    judai had se baDhi to visal ho hi gaya

    chalo wo aaj mera ham-KHayal ho hi gaya

    nawazta tha hamesha wo gham ki daulat se

    aur is KHazane se main mala mal ho hi gaya

    main aadmi hun to himmat na TuTti kaise

    ghamon ke bojh se aaKHir niDhaal ho hi gaya

    ye aur baat ki wo aadmi na ban paya

    magar zamane ki KHatir misal ho hi gaya

    wo aaftab ki din mein uruj tha jis ka

    hui jo sham to us ka zawal ho hi gaya

    main karobar-e-jahan mein ulajh gaya itna

    ki KHud se milna bhi ab to muhaal ho hi gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now