Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghum raha tha ek shaKHs raat ke Khaarzar mein

Adil Mansuri

ghum raha tha ek shaKHs raat ke Khaarzar mein

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    ghuum rahā thā ek shaḳhs raat ke ḳhārzār meñ

    us lahū bhī mar gayā sub.h ke intizār meñ

    ruuh ḳhushk pattiyāñ shāḳh se TūTtī rahīñ

    aur ghaTā baras ga.ī jism ke regzār meñ

    rañg meñ rañg ghul ga.e aks ke shīshe dhul ga.e

    qaus-e-quzah pighal ga.ī bhīgī huī lagār meñ

    ThanDī saḌak thī be-ḳhabar garm dinoñ ke qahr se

    dhuup ko jhelte rahe peḌ khaḌe qatār meñ

    bahtī havā mauj meñ tair rahe the sabz ghar

    shahr ajiib lagā raat chaḌhe ḳhumār meñ

    niind bhī jāgtī rahī puure hue na ḳhvāb bhī

    sub.h huī zamīn par raat Dhalī mazār meñ

    detā javāb kyā koī mere sivā na thā koī

    Duub ke rah ga.ī sadā tañg siyāh ġhaar meñ

    ghum raha tha ek shaKHs raat ke KHarzar mein

    us ka lahu bhi mar gaya subh ke intizar mein

    ruh ki KHushk pattiyan shaKH se TuTti rahin

    aur ghaTa baras gai jism ke regzar mein

    rang mein rang ghul gae aks ke shishe dhul gae

    qaus-e-quzah pighal gai bhigi hui lagar mein

    ThanDi saDak thi be-KHabar garm dinon ke qahr se

    dhup ko jhelte rahe peD khaDe qatar mein

    bahti hawa ki mauj mein tair rahe the sabz ghar

    shahr ajib sa laga raat chaDhe KHumar mein

    nind bhi jagti rahi pure hue na KHwab bhi

    subh hui zamin par raat Dhali mazar mein

    deta jawab kya koi mere siwa na tha koi

    Dub ke rah gai sada tang siyah ghaar mein

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ghum raha tha ek shaKHs raat ke Khaarzar mein Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now