Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chand

Badiuzzaman Khawar

ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chand

Badiuzzaman Khawar

MORE BYBadiuzzaman Khawar

    ek parī zulfoñ meñ yuuñ phañsā huā hai chāñd

    ham ko lagtā hai bādal meñ chhupā huā hai chāñd

    pahlī shaam nazar aayā thā bilkul aisā jaise nāḳhun

    chaudah din meñ dekho kitnā baḌā huā hai chāñd

    us ne peḌ se kuud ke jaane kitne ġhote khaa.e

    bandar ko jab lagā nadī meñ girā huā hai chāñd

    thoḌā nīche aa.e to us ko ham bhī chhū leñ

    battī jaisā ye jo uupar jalā huā hai chāñd

    sach kyā hai ye chāñd pe kar kaash ik din maiñ dekhūñ

    sab batlāte haiñ patthar banā huā hai chāñd

    ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chand

    hum ko lagta hai baadal mein chhupa hua hai chand

    pahli sham nazar aaya tha bilkul aisa jaise naKHun

    chaudah din mein dekho kitna baDa hua hai chand

    us ne peD se kud ke jaane kitne ghote khae

    bandar ko jab laga nadi mein gira hua hai chand

    thoDa sa niche aae to us ko hum bhi chhu len

    batti jaisa ye jo upar jala hua hai chand

    sach kya hai ye chand pe ja kar kash ek din main dekhun

    sab batlate hain patthar ka bana hua hai chand

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now