aaKHiri din ki talash
ḳhudā ne qur.ān meñ kahā hai
ki logo maiñ ne
tumhārī ḳhātir
falak banāyā
falak ko tāroñ se
chāñd sūraj se jagmagāyā
ki logo maiñ ne
tumhārī ḳhātir
zamīñ banā.ī
zamīñ ke siine pe
nadiyoñ kī lakīreñ khīñchīñ
samundaroñ ko
zamīñ kī āġhosh meñ biThāyā
pahāḌ rakkhe
daraḳht ugaa.e
daraḳht pe
phuul phal lagā.e
ki logo maiñ ne
tumhārī ḳhātir
ye din banāyā
ki din meñ kuchh kaam kar sako tum
ki logo maiñ ne
tumhārī ḳhātir
ye shab banā.ī
ki shab meñ ārām kar sako tum
ki logo maiñ ne
tumhārī ḳhātir
ye sab banāyā
magar na bhūlo
ki ek din maiñ
ye saarī chīzeñ sameT lūñgā
ḳhudā ne jo kuchh kahā hai
sach hai
magar na jaane
vo din kahāñ hai
vo āḳhirī din
ki jab ḳhudā ye tamām chīzeñ sameT legā
mujhe usī din kī justujū hai
ki ab ye chīzeñ
bahut purānī
bahut hī farsūda ho chukī haiñ
KHuda ne quran mein kaha hai
ki logo main ne
tumhaari KHatir
falak banaya
falak ko taron se
chand suraj se jagmagaya
ki logo main ne
tumhaari KHatir
zamin banai
zamin ke sine pe
nadiyon ki lakiren khinchin
samundaron ko
zamin ki aaghosh mein biThaya
pahaD rakkhe
daraKHt ugae
daraKHt pe
phul phal lagae
ki logo main ne
tumhaari KHatir
ye din banaya
ki din mein kuchh kaam kar sako tum
ki logo main ne
tumhaari KHatir
ye shab banai
ki shab mein aaram kar sako tum
ki logo main ne
tumhaari KHatir
ye sab banaya
magar na bhulo
ki ek din main
ye sari chizen sameT lunga
KHuda ne jo kuchh kaha hai
sach hai
magar na jaane
wo din kahan hai
wo aaKHiri din
ki jab KHuda ye tamam chizen sameT lega
mujhe usi din ki justuju hai
ki ab ye chizen
bahut purani
bahut hi farsuda ho chuki hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 155)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.