Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaina kabhi qabil-e-didar na howe

Ishq Aurangabadi

aaina kabhi qabil-e-didar na howe

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    ā.īna kabhī qābil-e-dīdār na hove

    gar ḳhaak ke saath us ko sarokār na hove

    kyā ḳhaak kaho us meñ tajallī ho numāyāñ

    ḳhurshīd jo zarra parastār na hove

    gar mehr na ho daaġh ke ulfat gavāhī

    manzūr mire dard tūmār na hove

    dil ḳhvāb ġhaflat se mabādā kahīñ chauñke

    ye fitna-e-ḳhvābīda bedār na hove

    ishq ahl-e-vafā biich use qadr hai kyā ḳhaak

    vo dil ki jo gard-e-rah-e-dildār na hove

    aaina kabhi qabil-e-didar na howe

    gar KHak ke sath us ko sarokar na howe

    kya KHak kaho us mein tajalli ho numayan

    KHurshid ka jo zarra parastar na howe

    gar mehr na ho dagh ke ulfat ki gawahi

    manzur mere dard ka tumar na howe

    dil KHwab ki ghaflat se mabaada kahin chaunke

    ye fitna-e-KHwabida hi bedar na howe

    ishq ahl-e-wafa bich use qadr hai kya KHak

    wo dil ki jo gard-e-rah-e-dildar na howe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now