ghubar dil se nikala nazar ko saf kiya
ġhubār dil se nikālā nazar ko saaf kiyā
phir us ke ba.ad mohabbat kā e'tirāf kiyā
jo vo nahīñ thā to maiñ muttafiq thā logoñ se
vo mere sāmne aayā to iḳhtilāf kiyā
har ek jurm kī paatā rahā sazā lekin
har ek jurm zamāne kā maiñ ne maaf kiyā
vo shab guzārne aa.egā mere kūche meñ
havā-e-shām ne dhīre se inkishāf kiyā
is anjuman meñ maiñ aayā thā jin kī marzī se
unheñ tumhārī nazar se mire ḳhilāf kiyā
ghubar dil se nikala nazar ko saf kiya
phir us ke baad mohabbat ka e'tiraf kiya
jo wo nahin tha to main muttafiq tha logon se
wo mere samne aaya to iKHtilaf kiya
har ek jurm ki pata raha saza lekin
har ek jurm zamane ka main ne maf kiya
wo shab guzarne aaega mere kuche mein
hawa-e-sham ne dhire se inkishaf kiya
is anjuman mein main aaya tha jin ki marzi se
unhen tumhaari nazar se mere KHilaf kiya
- Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.