dasht ki KHak bhi chhani hai
dasht kī ḳhaak bhī chhānī hai
ghar sī kahāñ vīrānī hai
aisī pyaas aur aisā sabr
dariyā paanī paanī hai
kashtī vaale haiñ māyūs
ghuTnoñ ghuTnoñ paanī hai
koī ye bhī sochegā
kaise aag bujhānī hai
ham ne chakh kar dekh liyā
duniyā khārā paanī hai
ek baras aur biit gayā
kab tak ḳhaak uḌānī hai
dasht ki KHak bhi chhani hai
ghar si kahan virani hai
aisi pyas aur aisa sabr
dariya pani pani hai
kashti wale hain mayus
ghuTnon ghuTnon pani hai
koi ye bhi sochega
kaise aag bujhani hai
hum ne chakh kar dekh liya
duniya khaara pani hai
ek baras aur bit gaya
kab tak KHak uDani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.