Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek raat ki kahani

Fahmida Riaz

ek raat ki kahani

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

    baḌī suhānī raat thī vo

    havā meñ an-jānī khoī khoī mahak rachī thī

    bahār ḳhush-gavār hiddat se raat gulnār ho rahī thī

    rupahle sapne se āsmāñ par sahāb ban kar bikhar ga.e the

    aur aisī ik raat ek āñgan meñ koī laḌkī khaḌī huī thī

    ḳhamosh tanhā

    vo apnī nāzuk hasīn sochoñ ke shahr meñ kho ke rah ga.ī thī

    dhanak ke sab rañg us āñkhoñ meñ bhar ga.e the

    vo aisī raat thī ki rāhoñ meñ us motī bikhar ga.e the

    hazār achhūte kuñvāre sapne

    nazar meñ us chamak rahe the

    sharīr raat us ko chupke se vo kahānī sunā rahī thī

    ki aaj

    vo apnī chūḌiyoñ khanak se sharmā.ī rahī thī

    baDi suhani si raat thi wo

    hawa mein an-jaani khoi khoi mahak rachi thi

    bahaar ki KHush-gawar hiddat se raat gulnar ho rahi thi

    rupahle sapne se aasman par sahab ban kar bikhar gae the

    aur aisi ek raat ek aangan mein koi laDki khaDi hui thi

    KHamosh tanha

    wo apni nazuk hasin sochon ke shahr mein kho ke rah gai thi

    dhanak ke sab rang us ki aankhon mein bhar gae the

    wo aisi hi raat thi ki rahon mein us ki moti bikhar gae the

    hazar achhute kunware sapne

    nazar mein us ki chamak rahe the

    sharir si raat us ko chupke se wo kahani suna rahi thi

    ki aaj

    wo apni chuDiyon ki khanak se sharmai ja rahi thi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now