eid
ye halchal ye khalbal kaisī
kahīñ
maañ ubaal rahī hai kankar
aur bachche
TuuTī thāliyāñ le kar
Tapakte paanī kī būñdoñ ko gin rahe haiñ
udhar
aalam aalam nikhrā hai
ujāloñ kī tarah
aur añdheroñ kī ravānī meñ hai
sukūt
gale milne kā ye mausam
bichhḌī rūhoñ ke aur bikharne kā
zāmin hai
maiñ mutahayyar
ki ye janmoñ kā hāsil
kisī be-mudda.ā pal meñ ubhrā
roz-e-īd to nahīñ
ye halchal ye khalbal kaisi
kahin
man ubaal rahi hai kankar
aur bachche
TuTi thaaliyan le kar
Tapakte pani ki bundon ko gin rahe hain
udhar
aalam aalam nikhra hai
ujalon ki tarah
aur andheron ki rawani mein hai
sukut
gale milne ka ye mausam
bichhDi ruhon ke aur bikharne ka
zamin hai
main mutahayyar
ki ye janmon ka hasil
kisi be-muddaa pal mein ubhra
roz-e-id to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.