Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya janm

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    abhī ik saal guzrā hai yahī mausam yahī din the

    magar maiñ apne kamre meñ bahut afsurda baiThā thā

    na koī sāñvle mahbūb yādoñ afsāna

    na aivān-e-zamistāñ taraf jaane kuchh ḳhvāhish

    kisī ne haal pūchhā to bahut be-niyāzī se

    kahā haañ ḳhudā shukr hai maiñ ḳhairiyat se huuñ

    koī ye pūchhtā kyuuñ aaj kal koī ġhazal likkhī

    na jaane baat kyā hai in dinoñ kuchh aisā lagtā hai

    tumhārī har ġhazal meñ miir andāz miltā hai

    har ik misre se jaise dhīmī dhīmī aañch uThtī hai

    tumhāre sher paḌh kar jaane kyuuñ mahsūs hotā hai

    ki koī saaz par maddham suroñ meñ gungunātā hai

    magar ik baat pūchhūñ tum ḳhafā to ho na jāoge

    ye āḳhir kyā sabab hai aaj kal nazmeñ nahīñ likhte

    tumhārī āp-bītī bhī abhī tak nā-mukammal hai

    ise to nāqidān-e-fan ne sunte sarāhā hai

    maiñ sab suntā magar ye dil dil meñ sochtā rahtā

    mire ahbāb kyā jāneñ ki mujh par kyā guzartī hai

    mire afkār pe ye kaisī vīrānī chhā.ī hai

    bahut kuchh sochtā huuñ phir bhī ab sochā nahīñ jaatā

    bahut kuchh chāhtā huuñ phir bhī koī bas nahīñ chaltā

    magar is bebasī meñ bhī mire dil ye hālat thī

    kabhī jab koī achchhī chiiz paḌhne ke liye miltī

    to pahroñ ruuh par ik vajd kaifiyat hotī

    ragoñ meñ merī jaise ḳhuuñ gardish tez ho jaatī

    lahū ek ik qatra ye kahtā maiñ to zinda huuñ

    mirī pāmāliyoñ meñ pal rahī hai ik tavānā.ī

    yahī aalam rahā to jaane maiñ kis roz uTh baiThūñ

    basant aayā to yuuñ aayā ki maiñ bhī jaise uTh baiThā

    saverā hote har samt se jhoñke havāoñ ke

    na.ī ḳhushbū liye mujh ko jagāne ke liye aa.e

    jidhar bhī aañkh uThātā huuñ shafaq muskurāhaT hai

    vahī sūraj hai lekin aur kuchh jagmagāhaT hai

    na jaane kaise kaise phuul ab mujh ko bulāte haiñ

    na jaane kitne kitne rañg se dil ko lubhāte haiñ

    fazā meñ duur tak phaile hue vo khet sarsoñ ke

    ye kahte haiñ ki ab armāñ nikālo apne barsoñ ke

    tumhāre sāmne phailā huā maidān saarā hai

    koī āvāz detā hai ki aao tum hamāre ho

    mirī dhartī ke beTe merī duniyā ke dulāre ho

    tumhārī aañkh meñ jo ḳhvāb so.e haiñ vo mere haiñ

    tumhāre ashk ne jo biij bo.e haiñ vo mere haiñ

    isī vaadī meñ phir se lauT kar ab tum ko aanā hai

    tumhārī ye bastī hai tumhīñ ko phir basānā hai

    ab is bastī meñ rakhte qadam kuchh aisā lagtā hai

    ki is zarra zarra patta patta kuchh nayā hai

    har ik raste pe jaise kuchh na.e chehre se milte haiñ

    yahī chāhtā hai jo mile ab us se ye pūchheñ

    tumhārā naam kyā hai? tum kahāñ ke rahne vaale ho

    kuchh aisā jaan paḌtā hai ki pahle bhī mile haiñ ham

    rahe haiñ saath ik dūsre ko jānte haiñ ham

    agar tum saath the to tum bhī shāyad dost the mere

    mujhe yaad aayā donoñ saath college meñ paḌhte the

    vo saare dostoñ jam.a honā mere kamre meñ

    vo gap shap qahqahe vo apne apne ishq ke qisse

    vo mīras road bāteñ vo charche ḳhūb-rūyoñ ke

    kabhī āvāragardī apnī un vīrān saḌkoñ

    kabhī bātoñ meñ rāteñ kāTnā sunsān jāḌoñ

    kabhī vo chāndnī meñ apnā yuuñ ghūmte rahnā

    kabhī vo chaa.e mezoñ pe ghanToñ baiThnā sab

    vo bāteñ ilm-o-hikmat kabhī shikve-shikāyat

    tumheñ to yaad hogā un meñ ik dost shā.ir thā

    zarā dekho to mujh ko ġhaur se shāyad vo maiñ thā

    bahut din meñ mile haiñ ham to aao aaj bhar kar

    hañseñ boleñ kahīñ āvāragardī ke liye nikleñ

    chaleñ aur chal ke saare dostoñ ko phir bulā laa.eñ

    sajā.eñ aaj phir mahfil kahīñ piine pilāne

    maiñ tum ko aaj apnī kuchh na.ī bāteñ batā.ūñgā

    maiñ tum ko aaj apnī kuchh na.ī nazmeñ sunā.ūñgā

    abhi ek sal guzra hai yahi mausam yahi din the

    magar main apne kamre mein bahut afsurda baiTha tha

    na koi sanwle mahbub ki yaadon ka afsana

    na aiwan-e-zamistan ki taraf jaane ki kuchh KHwahish

    kisi ne haal puchha to bahut hi be-niyazi se

    kaha ji han KHuda ka shukr hai main KHairiyat se hun

    koi ye puchhta kyun aaj kal koi ghazal likkhi

    na jaane baat kya hai in dinon kuchh aisa lagta hai

    tumhaari har ghazal mein mir ka andaz milta hai

    har ek misre se jaise dhimi dhimi aanch uThti hai

    tumhaare sher paDh kar jaane kyun mahsus hota hai

    ki koi saz par maddham suron mein gungunata hai

    magar ek baat puchhun tum KHafa to ho na jaoge

    ye aaKHir kya sabab hai aaj kal nazmen nahin likhte

    tumhaari aap-biti bhi abhi tak na-mukammal hai

    ise to naqidan-e-fan ne sunte hi saraha hai

    main sab sunta magar ye dil hi dil mein sochta rahta

    mere ahbab kya jaanen ki mujh par kya guzarti hai

    mere afkar pe ye kaisi virani si chhai hai

    bahut kuchh sochta hun phir bhi ab socha nahin jata

    bahut kuchh chahta hun phir bhi koi bas nahin chalta

    magar is bebasi mein bhi mere dil ki ye haalat thi

    kabhi jab koi achchhi chiz paDhne ke liye milti

    to pahron ruh par ek wajd ki si kaifiyat hoti

    ragon mein meri jaise KHun ki gardish tez ho jati

    lahu ka ek ek qatra ye kahta main to zinda hun

    meri pamaliyon mein pal rahi hai ek tawanai

    yahi aalam raha to jaane main kis roz uTh baiThun

    basant aaya to yun aaya ki main bhi jaise uTh baiTha

    sawera hote hi har samt se jhonke hawaon ke

    nai KHushbu liye mujh ko jagane ke liye aae

    jidhar bhi aankh uThata hun shafaq ki muskurahaT hai

    wahi suraj hai lekin aur hi kuchh jagmagahaT hai

    na jaane kaise kaise phul ab mujh ko bulate hain

    na jaane kitne kitne rang se dil ko lubhate hain

    faza mein dur tak phaile hue wo khet sarson ke

    ye kahte hain ki ab arman nikalo apne barson ke

    tumhaare samne phaila hua maidan sara hai

    koi aawaz deta hai ki aao tum hamare ho

    meri dharti ke beTe meri duniya ke dulare ho

    tumhaari aankh mein jo KHwab soe hain wo mere hain

    tumhaare ashk ne jo bij boe hain wo mere hain

    isi wadi mein phir se lauT kar ab tum ko aana hai

    tumhaari hi ye basti hai tumhin ko phir basana hai

    ab is basti mein rakhte hi qadam kuchh aisa lagta hai

    ki is ka zarra zarra patta patta kuchh naya sa hai

    har ek raste pe jaise kuchh nae chehre se milte hain

    yahi ji chahta hai jo mile ab us se ye puchhen

    tumhaara nam kya hai? tum kahan ke rahne wale ho

    kuchh aisa jaan paDta hai ki pahle bhi mile hain hum

    rahe hain sath ya ek dusre ko jaante hain hum

    agar tum sath the to tum bhi shayad dost the mere

    mujhe yaad aaya donon sath hi college mein paDhte the

    wo sare doston ka jama hona mere kamre mein

    wo gap shap qahqahe wo apne apne ishq ke qisse

    wo miras road ki baaten wo charche KHub-ruyon ke

    kabhi aawaragardi apni un viran saDkon ki

    kabhi baaton mein raaten kaTna sunsan jaDon ki

    kabhi wo chandni mein apna yun hi ghumte rahna

    kabhi wo chae ki mezon pe ghanTon baiThna sab ka

    wo baaten ilm-o-hikmat ki kabhi shikwe-shikayat ki

    tumhein to yaad hoga un mein hi ek dost shair tha

    zara dekho to mujh ko ghaur se shayad wo main hi tha

    bahut din mein mile hain hum to aao aaj ji bhar kar

    hansen bolen kahin aawaragardi ke liye niklen

    chalen aur chal ke sare doston ko phir bula laen

    sajaen aaj phir mahfil kahin pine pilane ki

    main tum ko aaj apni kuchh nai baaten bataunga

    main tum ko aaj apni kuchh nai nazmen sunaunga

    Source :
    • Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 136)
    • Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now